Blogger Me Apna Template Kaise Add Karein

Blogger Me Apna Template Kaise Add Karein

Hello Dosto, Mai Rahul ek baar fir aapka apne naye post me swagat karta hu. Abhi tak aapne sikha ki Blog kaise banayeBlog me post kaise daleBlog Post setting kaise kare etc.

Aaj mai aapko bataunga ki 

Blogger me apna/custom template kaise add karein.


Dosto, jab bhi hum blogger par blog banate hai to blogger hame kuch templates free me deta hai, agar hum us template ko use karte hain to hame alag se koi naya template add karne ki jarurat nahi hoti hai. Lekin agar hum apne blog ko or bhi jyada attractive banana chahte hain to hum usme alag se khud ka design kiya hua template ya Internet par maujud websites se free/paid template download kar ke bhi laga sakte hain.




Dosto, aapko sayad pata nahi hoga, blog ki ranking badhane me ek achcha template bahut hi important role ada karta hai. Agar aapka template SEO (Search Engine Optimization) friendly hai to Google ke search rank me aasani se aa jayega. Lekin agar aap Blogger ka template use kar rahe hain to search ranking me top par aane ke chance bahut kam hote hai, aisa nahi hai ki Blogger ke template use karne par aapka blog search ranking me upar nahi aayega lekin uske liye aapko kadi mehnat bhi karni padegi.

Template aisa hona chahiye jo Desktop ke sath-sath Mobile me aasani se open ho jaye. Aapko pata hi hoga ki aajkal jyadatar log Mobile par hi net use karte hain, aise me is baat ke pure chance hai ki lagbhag 60% log mobile me hi aapka blog open karenge. Isliye jo bhi template choose kariyega vo SEO friendly hone ke sath-sath Mobile Friendly bhi hona chahiye.




Aaiye Sabse pahle jante hai Custom Template ke baare me. Agar aap programmer hain ya aapko programming aati hai to aap apna khud ka Template design kar sakte hain, lekin agar aapko programming nahi aati hai to bhi paresaan hone ki jarurat nahi hai, aapke liye internet par hajaro websites hai jo aapko free me template dete hai. Agar aapko SEO friendly template chahiye to aap in websites se Template purchase bhi kar sakte hain.

Ab hum maan lete hai ki aapke paas custom template aa chuka hai. Ab mai aapko template upload karne ka process batata hu.

Sabse pahle aap apne Blogger me login karein. Uske baad Template me jaayein aur Backup/Restore par click karein.

Jab  aap Backup/Restore par click karenge to ek ek Pop-up khulega. Waha aapko Download Full Template likha dikhega. Sabse pahle aap apne current template ko download kar lijiye. Agar naya template upload karne me kuch gadbad ho gai ya naya template aapko pasand nahi aaya to aap download kiye hue purane template ko fir se restore kar sakte hain.




Purana Template download ho jane ke baad aap Choose File par click karein, aisa karne par ek box khulega, Naya template aapne jaha bhi save kiya hoga waha se aap us template ko select kar lein or fir Upload button par click kar dein.

Kuch der loading ke baad lijiye aapka naya Template upload ho gaya. Ab aap apne blog ko open kar ke Naye Template ko dekh ssake hain.

Yaha kuch Free Template website ka naam de raha hu jaha se aap free me template download kar sakte hain.



Dosto, aapko ye jankari kaisi lagi, comment box me mujhe jarur batayein.



loading...
Previous
Next Post »

5 comments

Click here for comments
September 21, 2016 at 6:20 PM ×

Wow Great Rahul bhai ...
i have a question regarding your Post.
Kya ye humare content jaise photos, custom fonts etc.. ko bhi effected karega ya sirf blog ke design change karega.

Reply
avatar
September 21, 2016 at 6:25 PM ×

Thanks Khursheed bhai.. :)

Template Sirf blog ke design ko change karta hai...ye photos ya fonts par asar nahi dalta hai...haan, agar aap chahe to template ke andar kuch line ki code add kar ke Fonts ka style bhi change kar sakte hain...Font ka style kaise change kare, is bare me bhi jaldi hi ek post dalunga.. :)

Reply
avatar
September 21, 2016 at 6:45 PM ×

Thanks for your quick response.
:)

Reply
avatar
Elect Guru
admin
November 6, 2016 at 10:33 AM × This comment has been removed by the author.
avatar
Elect Guru
admin
November 6, 2016 at 10:42 AM × This comment has been removed by the author.
avatar
Thanks for your comment