Blog Post ki Setting Kaise kare

Blog Post ki setting kaise kare


Hello Dosto, Mai Rahul ek baar fir aapke liye ek naya post lekar aaya hu. Apne pichle post me maine bataya tha ki Blog kaise banaye or Blog me post kaise dale.

Aaj mai aapko bataunga ki Blog me chhoti-moti setting kaise karein.

Jab aap post me kuch bhi content daal dete hain  tab aap usey Publish button par click kar ke Publish kar dete hain.. Lekin jaise-jaise aap naye post dalte jate hain aapka purana post page se bahar hota jata hai or kuch samay baad bahut sare post ke piche chhup jata hai. Ab agar kabhi kisi user ko us post ki jarurat padegi tab aap hi sochiye ki usey kitna search karna padega.

In sab paresaniyo se bachne ke liye hum Post me LABEL lagate hain. Label ek Keyword hota hai jo kisi bhi samay or kisi bhi page par se ek particular post ko search karne me help karta hai. Dhyan rahe Label hamesa post me maujud content se related hi hona chahiye.


Post wale page ke Side me aapko Labels naam ka option dikhega, us par click karte hi ek box aayega, jisme aap Post se related kuch keywords daal sakte hain, Baad me aap unhi Keywords se apne blog me us post ko search kar sakte hain yaha tak ki aapke users bhi us Keyword ke jariye aapke post ko search kar sakta hai.

Post Settings me agli Setting hai Schedule. Ye bahut kaam ki chiz hai. Aap koi bhi post banane ke baad Schedule me jakar us post ke publish hone ka Date or Time choose kar sakte hain. Maan lijiye, aapne abhi koi Post banaya lekin aap chahte hain ki aapka post agle din subah 6 baje publish ho. Iske liye aapko jyada kuch karne ki jarurat nahi hai bas Schedule me jakar agle din ki date or vo time choose karna padega jis time par aap apne post ko publish karna chahte hain or fir done kar dijiye, agle din aapka post apne aap set kiye hue time par publish ho jayega.




Ab bari aati hai Permalink ki. aap jab bhi apna post bana kar publish karte hain to aapke post ka link create hota hai, or jab user us link par click karta hai to uske samne vo post open ho jata hai. Lekin ye links kai baar bahut bade hote hai jo dekhne me achche nahi lagte hai.


Aap Permalink me jakar apne khud ki pasand ka link bhi create kar sakte hain. Iske liye aapko permalink pe click karna hoga fir waha Custom Perrmalink me jana hoga or waha apne pasand ka koi bhi naam dekar done kar dijiye. aapka Custom link taiyar ho jayega.



Fir uske baad aapko Location set karna hai ye aapko marji hai ki aap apni location set karna chahte hain ya nahi. agli setting Options hai jaha aapko kuch karne ki jarurat nahi hai, waha ki setting pahle se hi aapke hisab se set ki gai hoti hai.

Ab aapka post publish hone ke liye puri tarah se taiyar hai, ab aap apne Post ko publish kar sakte hain. Post publish hote hi sabhi visitors ko dikhne lagega.

Dosto, ye Post aapko kaisa laga, is baare me comment me mujhe jarur bataiye. Dhanyawaad.



loading...
Previous
Next Post »

4 comments

Click here for comments
Elect Guru
admin
October 7, 2016 at 7:24 AM ×

GOOD MORNING RAHUL JI.
Ek baat poochhni thi ki yadi hum ek hi baar kuchh posts ko daalkar uske publish hone ke liye time set kar dein to wo post kis din mein daali hui mani jayegi?

Example ke liye maan lete hain ki main 10 din tak kaam ki vajah se koi post nahin likh pata hoon to kya uske liye 10 posts ko alag-alag us 10 days ke kisi time par set kar sakta hoon taki mere blog par daily updates ho sake? kyaye daily updates hoga ya ek hi din ka update hoga aur kya baar-baar iska use kar sakte hain?

Reply
avatar
Elect Guru
admin
October 7, 2016 at 7:27 AM ×

Ek baat aur ki location mein kya aur kiska location set kiya jata hai detail mein janna hai.

Reply
avatar
October 9, 2016 at 3:11 PM ×

Good After noon Anand ji.
Agar aap koi post ko schedule kar dete hain to jis din vo post publish hoga, vo usi din ki maani jayegi or date bhi publish date hi show karega.

Aap chahe to ek hi din 10 post likh kar unhe 10 alag-alag din ke date par set kar denge to vo post apne-aap us date par publish hota rahega, chahe aap blog ko dus din tak na kholein...

Location me aap apna location set kar sakte hain..waise usey blank rakhenge to google aapka present location show karega...

Reply
avatar
Elect Guru
admin
October 25, 2016 at 10:03 PM ×

THANKS RAHUL JI.....
IS POST KA AUR OTHER POST JISMEIN MAINE AAPSE COMMENT KIYA THA USEY BOOKMARK KAR LIYA THA BUT PC FORMAT SE WO DELETE HO GAYA AUR SIDHE COMMENT WALE PAGE TAK PAHUNCH NAHIN PAYA THA BUT AB SAARE REPLY AAPKA PADH CHUKA HOON AUR MUJHE JO JANKARI AAPSE CHAHIYE THA WO BAKHUBI MIL GAYA BUT AB DO SAWAL AUR HAI KI HUM KISI BHI POST MEIN KITNE LINKS DAAL SAKTE HAIN TTAKI GOOGLE ADCENSE MEIN PROBLEM NA HO AUR KISI BHI POST KO DELETE KARNE SE KYA NUKSAAN HO SAKTA HAI?

Reply
avatar
Thanks for your comment