Blogspot ka Country Specific Redirect Kaise Band Kare

Blogspot Ka Country Specific Redirect Kaise Band Kare



Hello Dosto, Ek baar fir aapka swagat hai mere naye Post me. Pichle post me maine bataya ki Naye Bloggers ko kaun si 10 galtiya karne se bachna chahiye. Aaj mai aapko ek nai tarah ki jankari dene wala hu. 

Aapne dekha hoga ki jab bhi hum koi Blog open karte hai to uska url apne aap .in par shift ho jata hai. Jaise agar aap browser me abc.blogspot.com open karenge to vo khud hi .com se change hokar .in par aa jayega or kuch aise khulega- abc.blogspot.in. 

Aisa Google ke features ke karan hota hai or ye hamare hi sath nahi balki sabhi ke sath hota hai. Matlab agar America me koi hamara Blog open karega to waha abc.blogspot.us khulega wahi UK me .uk ho jayega. Google ne aisi setting kar rakhi hai jisse har country ke hisab se waha ka domain open hota hai. 



Ab Sawal ye uthata hai ki Google aisa kyu karta hai? 

Iski sabse badi wajah ye hai ki pahle Google ko .com wale Blogs ko track karne me mushkil hoti thi isliye usne Country Specific Redirect URL start kiya jisse Koi bhi Blog kis Country me kitni baar open kiya gaya, isey track kiya ja sake. Lekin aapko chinta karne ki koi jarurat nahi hai, hum Country Specific Redirect ko band bhi kar sakte hain. Aaj is post me hum isi bare me batayenge.   

Aap soch rahe honge ki agar URL Country ke hisab se redirect hota bhi hai to hame issey kya karna hai, hamara issey kaun sa nuksan ho raha hai lekin dosto mai aapko batana chahunga ki Iske fayde to khuch khas nahi hai lekin nuksan jarur hai. 

Aaiye jante hai is redircetion se hone wale nuksan ke bare me. 


Country Specific Redirect ke Nuksan. 


Alexa Rank

- Alexa Internet par maujud har Blog/Sites ko uske performance ke anusar Rank deta hai. Jab bhi kisi desh me hamara Blogs open hota hai to Alexa us desh me hamare Blog ko rank deta hai jisse hame ye pata chal jata hai ki hamara Blog us desh me kitna famous hai Lekin Nuksan ye hai ki har desh me alag-alag domain me blog open hone ke karan Alexa bhi hamare Blog ko Country wise Rank deta hai jisse Hamare Blog ke Overall Rank par asar padta hai. 


Wahi agar pure world me .com domain open hoga to iska fayda ye hoga ki hamare Blog ki Alexa Ranking bhi achchi hogi or Jab koi hamare Blog ki detail check karega to Alexa Ranking dekh kar Impress ho jayega.

Earning Problem

-Hum earning ke liye apne blog par kuch Ads lagate hai. Jyadatar Ads comapniya Geo based ads deti hai. Jab hamara Blog kisi aise desh me open kiya jata hai jaha Ads ka CPM ya CPC bahut low hai or hamare Blog ka url waha ke domain par redirect ho jata hai to us desh me hamare Blog par waha ke ads dikhte hai lekin low CPM ya CPC ke karan hamari earning achchi nahi ho pati hai. 


Wahi .com Domain hone ke karan hamare Blog par kuch High Quality premium Ads hamesa show hote hai jisse hamare earnings par jyada fark nahi padta hai.



Social Sharing


- Jab humare Blog Post ka link Social Sites jaise Facebook, Google+, Twitter or Whatsapp par share kiya jata hai to alag-alag countries me waha ke domain me open hone ke karan Blogger humare Blog ke Social Sharing Stats ko sahi se count nahi kar pata hai. Iske alawa agar aap Disqus Comments ka use karte hain to usme bhi problem aa sakti hai.



Ye to tha Blog ka URL redirect hone ke nuksan. Ab aaiye dekhte hai ki isey kaise band kiya ja sakta hai. 


Country Specific Redirect ko Band karne ke Steps:- 

Sabse Pahle aap Blogger me Login kariye or uske baad Dashboard >> Template >> Edit HTML me jaiye. 


Blogspot ko Country Specific Redirect kaise kare


 Ab Ctrl+F press kar ke <head> Find kare. or niche diya gaya code Copy kar ke <head> ke thik niche paste kar dijiye. 


Ab Template Save kar dijiye. 

Dusre Tab me Blog abc.blogspot.in me open kar ke check kariye. Aap dekhenge ki aapke Blog ka link apne aap abc.blogspot.com me convert ho jayega. 

Ummid karta hu aapko ye post pasand aaya hoga. Agar koi Sawal ho to Comment kar ke jarur puchiyega or apne Friends or Relatives ke sath hamare Blog ka link share karna mat bhuliyega. Thank You.  


loading...
Previous
Next Post »

10 comments

Click here for comments
Anonymous
admin
February 16, 2017 at 9:45 PM ×

Great Rahul ji. Iske baare mein to aajtak maine socha bhi nahin tha. com aur in ka itna bada fanda to mujhe pata hi nahin tha aur na hi iske baare mein koi idea tha ki aisa bhi ho sakta hai. Thanks ki aapne itne kaam ka post share kiya, aur aap youn hi hamare kaam ke aur post daalte rahein jisse ki hum bloggers ko jyada faayda ho sake. Waise ek baat poochhni hai ki hum apne blog ke liye Domain kaise kaise khareed sakte hain? Matlab ki mere blog ka link abc.blogspot.in hai to ise abc.com kaise karein? Waise main ye aur isse related baat ko achchhi tarah se samajh lena chahta hoon isliye aap yadi mere sawal ka jawab ek post banakar denge to mujhe khushi hogi. Ya fir yadi pahle se hi aisa koi post hai to please mujhe uska link dijiye.

Reply
avatar
Admin
admin
February 17, 2017 at 11:46 AM ×

Comments ke liye Thanks Anand bhai.

Aapne bahut hi achcha sawal kiya hai or abhi maine is par koi post nahi banaya hai lekin jaldi hi is par naya post banaunga. Abhi mai sirf itna hi kahunga Aap hamesa visit karte rahiye, aapko har din kuch naya sikhne ko jarur milega. :)

Reply
avatar
Anonymous
admin
February 17, 2017 at 10:54 PM ×

Ji haan, main aapke saare posts ko padhta hoon aur unhein follow bhi karta hoon lekin comment nahin kar paata. Aur mere sawal par post banane ke jo waada aapne kiya hai hai uske liye tahe dil se aapka shukriya.

Reply
avatar
March 1, 2017 at 9:51 AM ×

XML पार्स करने में त्रुटि, पंक्ति 6, खंड 14: Open quote is expected for attribute "type" associated with an element type "script". mere blog http://rakeshkirachanay.blogspot.in/ error ke karan com laagu nahin ho raha hai.

Reply
avatar
Admin
admin
March 1, 2017 at 5:53 PM ×

Post me diye gaye code ko head tag ke just niche paste kar ke save kar dijiye. Aapka blog domain .in se .com me redirect hone lagega..

Reply
avatar
Manjusha
admin
March 8, 2017 at 1:29 AM ×

Hi Rahul ! Mujhe aap ki site ke baare main Indiblogger se pata chala. Sabse pehle Kahna chahungi aapki website bahut acchi hai. Blogspot pe itna professional templet Kahan hai? Aap ne domain name nahin Liya hai aur self host bhi nahin Kiya pair bhi aapki site ka look self hosted site jaisa kaise hai? Mujhe bhi apni blogspot.in site ok itna accha banana hai. Sabse pehle main usko .com main change karungi aapki post ke help se. Aap ka blog bahut informative hai. Mujhe bahut kuch seekhana hai apke posts padh ke. Kay aap mera blog dekhkar kuch suggest karna chahenge pls.

Thank you!

Reply
avatar
Manjusha
admin
March 8, 2017 at 1:31 AM ×

My blog http://mommysdelight2blog.blogspot.in

Reply
avatar
Admin
admin
March 8, 2017 at 2:22 PM ×

Hello Mann Ronnie! sabse pahle aapko Women's Day ki badhai. :)

Maine aapka Blog visit kiya, Aapka Blog bahut achcha hai or blog ka topic achcha laga Specially Juno and Mike....Mujhe bhi Space se related articles padhne ka bahut shauk hai or maine apne friend ke naam par ek website bhi bana rakha hai.. www.vijaysinghthakurai.com

Aapke blog me sab kuch thik hai lekin blog ka template sahi nahi hai..Aapko template change kar ke koi attractive template lagana hoga....Blogspot pe jitne bhi template hai vo bilkul sadharan hai, agar aapko apne blog ko attractive look dena hai to iske liye Custom Template lagana hoga...matlab template purchase kar ke ya free me download kar ke bhi aap template laga sakti hain..

Mujhe aapke blog ke liye jo template achcha laga mai uske link yaha de raha hu, aap is link ko visit kariye or agar vo template pasand aaye to download kar lijiyega...downloading bilkul free hai..

https://gooyaabitemplates.com/smart-seo-blogger-template/

https://gooyaabitemplates.com/simplify-2-blogger-template/

ye 2 template ke link hai..Agar aapko template change karna nahi aata hai to iske liye aap mera ye post jarur padhiyega..

https://internethindime.blogspot.com/2016/09/blogger-me-apna-template-kaise-add.html

*********************************
Bahut jaldi hi mai apna domain purchase karne wala hu.. iske alawa mai yaha ek post likhunga jisme mai ye bataunga ki blog ke liye domain purchase kiye bina kaise uska link website ke link jaisa bana sake hain jaise internethindime.blogspot.com se internethindime.tk etc...

Last me yahi kahna chahunga ki hamare blog ko jarur subscribe kariyega jisse aapko hamara naya post jarur dikhe...

Reply
avatar
Manjusha
admin
March 12, 2017 at 1:02 AM ×

Hi Rahul! Thank you so much!

Main aap ke suggestions se bilkul sahmat hun aur apna templet change karungi.

Main aap ke blogs zaroor padhungi aur subscribe karungi future help keliye.
Mujhe aap ke suggestions ki zaroorat padti rahegi.

Thank you!😊

Reply
avatar
Admin
admin
March 12, 2017 at 3:05 PM ×

Welcome Mann Ronnie :)

Reply
avatar
Thanks for your comment