Adsense Account Approve Karane Ke 10 Tips

Adsense Account Approve Karane Ke 10 Tips

Dosto, Blog banane ke baad sabhi log usse jyada se jyada paise kamana chahte hain or usse paise kamane ka sabse achcha or bharosemand tarika hai Adsense ads lagana.

Dekhne me aata hai ki Bahut sare log Blog banate hi Adsense ki term and condition padhe bina hi Adsense ke liye apply kar dete hai, natija ye hota hai ki unka application reject ho jata hai.

Ek baar Application reject ho jane ke baad usey dubara approve karana aasan nahi hota hai.

Aaj mai is post me aapko bataunga ki Aisa kya karna chahiye ki Aapka Adsense Jaldi approve ho jaye.


Adsense Account Approve Karne Ke Tips:-



  1. Term and Conditions ko Padhein

  2. Hum Indian ki ek sabse buri aadat hai ki koi bhi software install karte waqt ya kisi site par sign up karte waqt hum uske Terms and Conditions nahi padhte hain lekin uske aage ke box ko tik jarur kar dete hain.

    Lekin mai aapse kahna chahunga ki Adsense ke liye apply karne se pahle uske Terms and Conditions jarur padhiyega, isse aapko bahut help bhi milegi.

    Isey Bhi PadheinGoogle Adsense Ke 15 Fayde


  3. Blog/Site 6 Mahine Purani ho

  4. India or Aaspas ke desho ke liye Adsense ne ye niyam bana rakha hai ki aapki site/blog kam se kam 6 mahine purani ho. 

    Dekha jaye to is niyam ke fayde bhi hai. 

    Blogging ke starting dino me jyada traffic nahi aata hai lekin jaise-jaise hum quality post dalte hai hamare blog par traffic badhne lagta hai or jab hamara adsense approve hoga tab tak traffic itna aane lagega ki usse hamari earnings bhi achchi hone lagegi.


  5. Content Kam hona


  6. Blog banane ke baad pahle us par achche se kam se kam 50 quality post daalna chahiye, uske baad hi adsense ke liye apply karein.




  7. Bhul Kar Bhi Copy Na Karein


  8. Agar aap ye soch rahe hain ki post dalna kaun si badi baat hai. Kisi dusri site par gaye waha ke content ko copy kiya or apne site par paste kar ke publish kar diya, ban gaya hamara post. Google ko thode na pata chalega.

    Agar aap bhi yahi soch rahe hain to mai aapko batana chahunga ki aap galat soch rahe hain. Google aapse jyada chalak hai. Ho sakta hai vo us waqt aapki chalaki na pakad paaye lekin baad me vo aapke copy-paste post ko pakad hi lega or fir na sirf us post ko delete kar dega balki aapka Adsense bhi disable kar dega.

    Isliye dhyan rahe ki aap jo bhi likhe vo aapka apna hona chahiye, kisi ki copy-paste nahi.

  9. Website Ka Design Badhiya Hona Chahiye

  10. Website ka design user-friendly or sath hi Mobile-friendly bhi hona chahiye.

    Jab koi visitor aapke site par aaye to usey aapke article padhne me koi problem na ho, ek page se dusre page par jana yani ki navigation bhi aasan ho.

    Site chahe mobile me kholi jaye ya web me, usme kisi bhi tarah ki problem nahi aani chahiye. Iske alawa site aasani se or jaldi load ho jaye, iska bhi dhyan rakhna hoga.




  11. Paid Visits Lane ki Kosis Bhi Na Karein


  12. Jab blog par visits nahi aata hai to bahut sare log kai PTC Sites ko paise dekar visits kharidne ki kosis karte hai. Aise logo ko mai batana chahunga ki Google ko Paid visitors bilkul hi pasand nahi hai. 

    Jo visitors search engine se ya backlink se aate hai, aise visitors ko Google bhi pasand karta hai or aisi sites ko search me achcha rank bhi milta hai.

    Isliye apne Blog ka achche se SEO kare, Uska Backlink Banaye, ya Social sites par links post karein jisse aapke Site par Natural visits aaye jiska fayda aapko jarur milega.


  13. Jyada Image Upload na kare

  14. Agar aap apne site par kewal Image hi dalte hain, or content kuch bhi nahi likhte tab bhi aapka Adsense approve nahi hoga.

    Kewal Image hone se Google ko ye pata nahi chalta ki Site kis topic par hai, aise me Adsense bhi aapka application reject kar deta hai.

    Lekin aapko nirash hone ki jarurat nahi hai. Kuch jaruri steps follow kar ke aap apni Image wali site par bhi Adsesnse approve kara sakte hain.

    a) Image ka Caption jarur likhein.
    b) Image ke Properties me jakar ALT Tag Image se related keyword jarur likhein.
    c) Image ke bare me ek chota sa description uske niche likhe.
    d) Copyrighted Image ya Google se download kiya hua image use na kare, uski jagah khud ka click kiya hua image use kare.

    Ye tarike apnakar bhi aap apne adsense ko approve kara sakte hain.




  15. Apni Site me Ye Page Jarur Add karein


  16. Aap jab apna site/blog banate hai to usme About Us, Contact Us, Sitemap, Terms & Conditions ke page jarur hone chahiye.

    Upar bataye gaye sabhi page add karne se Adsense ko aapka site puri tarah se professional site bhi dikhta hai or isse adsense approve hone me aasani bhi hoti hai. 

  17. Site Ki Language Adsense Supported ho

  18. Site banate waqt aapko ye dhyan rakhna hoga ki aapke site ki language ko Adsense support karta ho yaani vo language Adsense ki list me ho. Adsense kaun-kaun se language support karta ye check karne ke liye aap yaha click karein.

  19. Adult ya Copyrighted Content na ho

  20. Agar aapne apni site/blog par koi aisa content dala hua hai jo copyrighted hai or uske original owner se aapko permission nahi mili hai to aapka Adsense approve nahi hoga.

    Iske alawa agar aapne apni site par Gambling, Porn ya khoon-kharabe wale content daal rakha hai tab bhi aapka Adsense approve nahi hoga.

    Dosto, ummid karta hu aapko ye post pasand aaya hoga. Agar koi sawal ya sujhav ho to mujhe comment me jarur bataye. Roj hamare naye post ko apne Inbox me pane ke liye Hamare Blog ko subscribe karna na bhule. Thank You.




loading...
Previous
Next Post »

7 comments

Click here for comments
Anonymous
admin
March 12, 2017 at 7:40 AM ×

Rahul bhai, maine bahut jagah par padha tha ki hamein hamare post mein 1000+ words ka use karna chahiye. Ho sakta hai ki ye baatein aur isse related post aap bhi likh chuke honge jiske baare mein mujhe pata hi nahin hai. To main yahan aapse ye janna chahta hoon ki kya ye baat sahi hai? Kya hamein sach mein apne post mein itnbe words ka use karna chahiye? Yadi hum apna post 300+ words mein hi likh paayein to koi dikkat hogi kya? Aur bina counting kiye ye kaise jaanun ki hamare post mein kitne words use huye hain? Aur saath hi ek confusion ye bhi hai ki hamare posts mein 2-3 digit ke hi kai saare words (jaise.....ki, ka, aur, kya, etc) use kioye jaate hain. To kya counting mein inhein bhi ek-ek word maana jata hai? Saath hi hum apne post mein numerical digit bhi use karte hain (jaise....1, 50,1000 etc...). To kya ye chhote digit bhi ek word kahlayenge?

Mujhe poora vishwas hai ki main aapko apni problem achchhi tarah se samjha paaya hounga aur aap meri help bhi jaroor karenge. Ab mujhe aapke reply ka wait hai........

Reply
avatar
Anonymous
admin
March 12, 2017 at 7:47 AM ×

Ek baat aur kahna chahunga ki main Electronics par post likhta hoon jismein mujhe sabse badi problem aati hai Images ki. Mera post Images ke bina adhoora rah jaata hai. Meri saath majboori ye hai ki main saare images capture nahin kar sakta. To yahan ye jaanna chahta hoon ki koi aisa upaay hai jisse ki hum apne blog par bina capture kiye hi image laga sakte hain aur saath hi copyright ka ki jhanjhat bhi na bane? Rahul bhai ye saare problems mere saath bahut hi samay se hain aur please aap mujhe in sabhi ka samadhan jaroor dijiyega.

Reply
avatar
Admin
admin
March 12, 2017 at 3:26 PM ×

Anand bhai, Ye baat sahi hai ki hum jitna lamba post likh sakte hai hame likhna chahiye...or kyu likhna chahiye mai apne post On Page SEO me bata bhi chuka hu. lekin fir bhi aapko yaha jarur bataunga.

Post bada hone se us topic se related sare jaruri keywords kahi na kahi aa hi jate hai. Isliye jitna bada post hoga utna hi jyada usme keywords use ho sakega or ye SEO ke liye bahut hi jaruri hai ki aapke post me us topic se related keywords jyada se jyada ho.

Lekin bada post likhne ke chakkar me aisa na ho ki aap kuch bhi ulta sidha likh kar post ko bada kar dein. Jo bhi kuch likhiye TO The Point likhiye, Jisse padhne wale ko bhi achcha lage or Search Engine bhi usey ignore na kar sake.

Aap 300-500 words wale post bhi likh sakte hai usse koi nuksan nahi hai, bas usme jarurat ke anusar keywords ka use jarur hona chahiye...Online Word count karne ke liye is website par visit kariye or apne post ka link daal kar check kariye....

Post me use kiye gaye har words count hota hai, iske alawa usme muajud numbers bhi word me count hote hai lekin kai online tool usey alag category me bhi rakhte hai.

Aapki image wali problem solve karne ke liye mai jaldi hi issey related ek post likhunga. Thanks For comment.

Reply
avatar
Elect Guru
admin
March 13, 2017 at 7:59 AM ×

Thankyou Rahul bhai, aapne meri samasya door kar di hai aur ab mujhe image se related aapke post ka intjaar hai aur mujhe vishwas hai ki aap usey jaldi hi post karenge.

Reply
avatar
Admin
admin
March 15, 2017 at 11:02 AM ×

Anand bhai, maine Image se related post publish kar diya hai. Us post par aapke comment ka intjar hai :)

https://internethindime.blogspot.com/2017/03/10-free-stock-images-sites.html

Reply
avatar
kalaa shree
admin
April 1, 2017 at 8:47 PM ×

sir,
mere adsense account me ye message aa raha hai.last 3,4 months se.
Account Not Active
An AdSense account does not exist for this login, as your application is currently in review. Within a week of your application date, we'll review your application and follow-up with you via email. Once you are approved to join AdSense, you'll be able to log in to your account and get started.
Return to AdSense home.

please help me.

Reply
avatar
Admin
admin
April 2, 2017 at 5:02 AM ×

Aapne Adsense ke liye apply kar diya hai lekin abhi tak aapka Adsense approve nahi hua hai. Generally, Adsense 24 ghante se lekar 30 dino me hi approval de deta hai lekin jaisa ki aapne apne comment me bataya ki ye message pichle 3-4 month se aa raha hai, iska matlab hai ki Adsense ne aapka account pending list me dal diya hai.

or aapke Adsense Account ke aage bhi approve hone ke chance bahut kam hai.

Lekin aapko nirash hone ki jarurat nahi hai, Aap Youtube ke jariye apna Adsense 1 din me approve kara sakti hain. Youtube se apna Adsense approve karane ke process ke bare me mai jaldi hi ek post likhunga.

Hamare sabhi Post ki jankari ke liye hame subscribe jarur kariyega.

Comment karne ke liye Thanks :)

Reply
avatar
Thanks for your comment