Use of HTML tag

HTML Tag ka use kaise kare



Hello Dosto, Aaj mere ek dost ne mujhse pucha ki tum apne blog me colourful lines kaise add karte ho. or tumhare blog me link par click karne par alag tab me page kyu khulte hai?

Pahle to maine apne dost ko is bare me samjhaya ki ye sab HTML or CSS ke prayog se kiya jata hai, fir maine socha ki is par ek post likhta hu jisse bahut sare logo ko in basic HTML or CSS codes ke bare me pata chal jayega or vo log bhi apne blog post me iska use kar sakenge.

HTML or CSS kya hai? HTML ek programming language hai. HTML ki coding ka prayog web page banane ke liye kiya jata hai wahi CSS ka prayog web page me design ke liye kiya jata hai.



Sabse pahle mai bataunga ki koi bhi link dalne ke liye kya code likha jata hai. Maan lijiye hame apne post me Google ka link dena hai to iske liye hame ye code likhna hoga.

<a href="www.google.com">Google</a>

ye Code likhne par aapko Google aisa dikhega (Google) ab jab aapke visitors is Google par click karenge tab vo sidhe Google ke page par pahuch jayenge.

Lekin aisa hone par aapke blog ki jagah Google ka page aa jayega, ab wapas aapke blog par lautne ke liye visitors ko back ka button dabana padega. Lekin agar aap chahte hain ki jab bhi visitors aapke link par click kare to vo link dusre tab me open ho to uske liye bhi ek chhota sa code usi ke aage add karna padega. Ye dekhiye.

<a href="www.google.com" target="_blank&quot;">Google</a>

Target ka code add karte hi aapka link dikhega to aise hi (Google) lekin jaise hi aapke visitors is link par click karenge tab vo link dusre page me open hoga. ummid hai aapko ye baat samajh me aa gai hogi.

Ab aate hai kisi post me bich me Line dalne par. iske liye bhi ek chhota sa code likhna padta hai.

<hr style="background-color: red; color: green; height: 3;" />

Ye CSS ka code hai. Isme aap color me apni marji ka koi bhi color choose kar sakte hain or Height bhi aap apni marji se kuch bhi daal sakte hain..

Ummid hai aapko ye post pasand aaya hoga. Dhanyawaad.



loading...
Previous
Next Post »

1 comments:

Click here for comments
September 13, 2016 at 11:27 PM ×

bahut achhe.
Aapke post waqai behad informative hain rahul bhai.
Thanks

Congrats bro Times24 Bihar you got PERTAMAX...! hehehehe...
Reply
avatar
Thanks for your comment