Blog ka Ek se Jyada Admin kaise banaye

Blog ka Ek se Jyada Admin kaise banaye

Hello Dosto, Mai Rahul aapka apne Naye Post me swagat karta hu. Aapne pichle post me sikha ki

Blog me apna khud ka template kaise add karein.

Aaj mai aapko bataunga ki Blog me ek se jyada Admin kaise banaye/Jodein.

Dosto, kai baar ham blog bana lete hai lekin samay ki kami ke karan ham Blog par apna time nahi de pate hain or aise me Blog me kai dino tak koi update nahi ho pata hai, jis karan visitors ko lagta hai ki is blog par visit karne se ab koi fayda nahi hai. Is karan Blog ki visit kam hone lagti hai or sath me Google Search me Blog ki ranking par bhi asar padta hai.



Aise me kai baar hame ye bhi lagta hai ki kaash koi or bhi is blog par hamara sath de pata to hame roj-roj blog update karne ke liye samay nikalne ki jarurat nahi padti.

Lekin Blog par update karne me hamara sath koi tabhi de sakta hai jab hum usey apne blog ka Id or Password bata dein. Bahut sare log apni Id or Password kisi or ke sath share nahi karna chahte hain, aise me unke paas ek or tarika hai jiske jariye vo apne blog par kisi dusre person ko Admin bana sakte hain.

Sabse pahle aapko Blogger me apni ID se login karna hoga or fir Side me dikh rahe Menu me SETTINGS me jaayein. Waha aapko BASIC me jana hoga, Waha apko Permissions ke thik niche Blog Authors likha dikhega, Jaisa ki Screen shot me dikhaya gaya hai.




Ab Naye Admin add karne ke liye aapko ADD AUTHORS par click karna hoga, click karte hi aapke samne ek box dikhega, usme jisey aap Admin/Author banana chahte hain uska email address type kariyega or Invite Authors par click kar dijiyega.


Fir jisey aapne Add kiya hai, usey inform kar dijiye or unhe bata dijiye ki aapko ek Invitation aayega, usey Accept kariye. Jaise hi vo accept kar lenge waise hi aapke taraf Blog Authors me do naam dikhenge ek aapka or ek aapke friend ka. Yaha dhyan dene wali baat ye hai ki waha aapko ek drop down menu bhi dikhega jisme Admin or Author likha hoga. Aap apni suvidha anusar unhe Admin ya Author bana sakte hain.

Admin banane par aap unhe Blog ka full access de denge jabki Author banane par us person ko sirf limited access hi mil payega jaise ki post update karna etc.

Aapko ye post kaisa laga is baare me comment box me jarur bataiyega. 


loading...
Previous
Next Post »