Post publish karne se pahle dhyan rakhe kuch jaruri baatein

Post Publish karne se pahle dhyan rakhne wali kuch jaruri baatein

Hello Dosto, Mai Rahul ek baar fir se aapka swagat karta hu apne naye post me. Pichle post me maine aapko bataya tha ki Blog ka ek se jyada Admin kaise banaye. Aaj mai aapko bataunga ki Blog post ko Publish karne ke waqt kya-kya jaruri baato ka dhyan rakhna chahiye.

Dosto, Aksar aisa hota hai ki jab aap koi post likhte hain to usey achche se check kiye bina usi waqt publish kar dete hain. Fir jab aap us post ko padhte hain to aapko usme kuch kami/galti nazar aati hai or fir aapko usey edit karna padta hai. 



Agar aap chahte hain ki ek baar post ko publish karne ke baad usey dubara edit karne ki jarurat na pade to iske liye aaj aapko hamara ye post jarur padhna chahiye.

Jis tarah har kaam ko karne ka ek fix step hota hai, thik waise hi Blog me Post likhne or publish karne ka ek step hota hai. Agar aap us step ko follow karte hain to aapke post me edit karne ki sambhavna bahut hi kam rahegi ya edit karne ki jarurat nahi padegi. Waise jaha jarurat ho waha post edit karne me koi problem nahi hai.

Post Publish Karne Se Pahle In Baato ko Dhyan me Rakhe

Sabse pahle to aap jis topic par post likhne ja rahe hain uske baare me achche se jankari juta lein. Uske baad jab aap post likhein to kosis karein ki aapke topic or post se related keyword aapke post me jarur ho.

Post likhne or Publish karne tak ke Steps:-

1. Sabse pahle apne post ke liye ek achcha sa topic select karein.
2. Aap jis topic par post likhna chahte hain uske bare me achche se jankari juta lein.
3.Post likh ke baad publish nahi karein balki draft me save kar de.
4. Post ki SEO karein
5. Proof Reading karein,
6. Post Publish karein.



Aaiye ab in sabhi points par detail me charcha karte hain.

1. Post ka Title

Post likhne se pahle apne post ke Title ka chunav kare. Post ka Title aisa ho jise padh kar hi aapke post ke content ke bare me andaja lag jaye, Sath hi post ka title thoda attractive bhi ho jisse Title padhne wala person puri post padhe bina na rah paye.

Sabse important baat, Post ka Title or Post ke content me samanta honi chahiye, matlab aapke post ka jo Title hai usi se related content bhi hona chahiye. Aisa nahi hone par aapke readers dubara aapke blog par nahi aayenge jisse aapka hi nuksan hoga.

2. Post ke bare me achchi Jankari hona chahiye

Aap jis topic par post likh rahe hain uske baare me aapko achche se jankari hona chahiye. Kai baar log kisi or ka content apne blog me paste kar dete hain or jab koi reader unse comment me kuch sawal puchta hai to vo uska jawab nahi de pate hain.

Isliye koi bhi post likhne se pahle us topic ke bare me achche se Internet ya kitabo ke madhyam se jankari prapt karein.



3. Post ko Draft karein

Post jab complete ho jaye to usey usi waqt publish karne ki bajay usey draft kar de or usey khud se padhein or Spelling mistakes ya grammar ki galtiya ho to usey sudharey. Kai baar khud ki post dubara padhne par usme kuch nai lines add karne ki jarurat lagti hai.

Isliye Post ko publish karne se pahle usey draft me save kar ke ek baar jarur padhein.

4. Post ko padhne layak banaye.

Dosto, jab bhi aap post likhe to ye dhyan rakhe ki usme aapki language jyada tough na ho. Bhasa aisi ho ki jo bhi aapka post padhe, usey aasani se samajh me aa jaye.

Iske alawa Post me jarurat ke anusar Heading, Sub-Heading ka prayog jarur karein. Kisi khash line ko Highlight, Bold ya Italic jarur karein, Isse readers ko bhi samajhne me aasani rahegi.



5. SEO:- Interlinking, Category or Tag ka prayog karein.

Post likhne ke baad apne usey SEO karna na bhulein. SEO (Search Engine Optimization) karne se hamara post Google, Yahoo ya dusre search engine me teji se high rank me aata hai.

Post me Interlinking karna SEO ke lihaaj se sabse best mana gaya hai. Interlinking ka matlab hota hai post me apne hi blog ke kisi dusre post ka link dalna. Issey readers ko usi topic se related dusre post tak jane me bhi aasani rahti hai or hamare blog ka bounce rate bhi kam hota hai.

lekin Interlinking wahi karein jaha uski jarurat ho, bewajah kahi bhi link na daalein. 

Category & Tag:- Aapka post jis par likha gaya hai usi se related suitable category ka use karein. Jaise agar aapne Film ka review dala hai to usey Movie ki category me daalein na ki Sports ki. Iske alawa apne post ke liye sabse suitable Tag ka use karein.

Content ke mutabik Category or Tag ka use karne par readers ko bhi aapke dusre post tak pahuchne me paresani nahi hogi or search engine ko bhi aapke post ko search karne me aasani rahegi.



6. Image me Alt tags ka prayog

Apne har post me kam se kam ek image jarur daalein or usme Alt tag ka use karna na bhulein.

Image me Alt tag ka use karne se Search Engine ko ye pata chalta hai ki vo image kis bare me hai. Image me Alt tag ka prayog karne se bhi Search Engine me rank badhti hai.

Lekin post me jarurat ke anusar hi image ka prayoga karein, bina wajah jarurat se jyada image na daalein issey aapka post or blog ki loading slow ho jati hai jisse search engine me rank par fark padta hai.

7. Keyword ka prayog jarur karein

Post likhte samay usse related keywords ka prayog jarur karein. Ho sake to ek-do keywords aise bhi prayog karein jinki aapke post me jarurat ho or pure post me uska 4-5 baar prayog kiya ja sake.

Lekin aise keywords ko sahi jagah par place karein jisse padhne wale ko bhi odd na lage or Search Engine bhi usey read kar sake.



8. Post Publish karein

Post pura karne ke baad sabse last me 2-3 line likh kar apne readers ko apne post ke bare me review likhne ko jarur kahein, sath me unhe apne blog ko subscribe karne ko bhi kahein.

Ab aap finally post publish kar dein.

Dosto, Ye to tha post publish karne se pahle kiye jane wale kuch jaruri kaam lekin ek baat mai aapko batana chahunga ki aap jo bhi post likhein khud uski jankari prapt kar ke likhein, kisi or ke post ki copy bilkul na karein. Post copy karne se bhi Search Engine me aapke rank par fark padega.

Agar aapko ye post pasand aaya ho to comment ke jariye mujhe jarur batayein or hamare blog ko Subscribe jarur karein. 
loading...
Previous
Next Post »

3 comments

Click here for comments
Elect Guru
admin
February 5, 2017 at 5:20 PM ×

Thanks Rahul ji, aapke previous saare posts ke hi saman ye post bhi laajawab hai. Aur ye jaankar bahut hi khushi huyi ki aap ab regular post daala karenge. Mujhe aapke next post ka intjaar hai aur ummid karta hoon ki aap jald hi apna amoolya next post hum friends ke saath share karenge. Thanks ki aapne ye post hamare saath share kiya.

Reply
avatar
February 5, 2017 at 5:24 PM ×

Thanks Anand bhai, aaj se mai blog par regular post dalunga or mai chahunga ki aap is blog ko bookmark kar lein or apne dosto ko bhi is bare me batayein.

comics blog ke liye aap jo kar rahe hain uske liye bhi aapko dil se dhanyawaad.

Reply
avatar
Elect Guru
admin
February 5, 2017 at 5:30 PM ×

Rahul bhai aapka blog pahle hi main bookmark kar chuka tha, lekin jab aapne time dena band kar diya to baad mein remove kar diya lekin ab main fir se bookmark kar liya hai. Aur comics blog ke liye mujhe khushi haiki main utna kuchh kar paata hoon.

Reply
avatar
Thanks for your comment