Search Console Par Apna Blog Kaise Add Kare

Post ko Search Engine me kaise Laye

Hello Dosto, Ek baar fir se aapka swagat hai mere naye post me. Pichle post me aapne jana ki Naye Blogger ko kaun si 10 galtiya karne se bachna chahiye. 

Aaj ke post me mai aapko bataunga ki apne Blog-Post ko Google Search me kaise laya jaye

Dosto, Ek post likhne me ham bahut mehnat karte hai. Kai alag-alag source se jankari prapt kar ke fir usey practical kar ke check karte hain or uske baad us experience ko post ke rup me likh dalte hain. Uske baad us post ki formatting or SEO karte hai. Itni mehnat karne ke baad bhi jab hamara Blog-Post Google me search karne par nahi dikhta hai to ham bahut nirash ho jate hai. 



Waise to Internet par bahut sare Search Engine hai lekin ham kuch bhi search karne ke liye sabse jyada Google ka hi use karte hai. Isliye aaj mai aapko Google-Search me apne post ko upar lane ka tarika bataunga. 

Google Webmaster Tool jisey ab Google Search Console kaha jata hai, iske jariye ham apne post ko Index kar sakte hain or search me high rank prapt kar sakte hain Lekin uske liye pahle aapko Google Search Console me account banana hoga. 

Google Search Console me Account Kaise Banaye. 

Dosto, jaisa ki naam se hi aapko pata chal ja raha hoga ki ye bhi Google ka hi ek Tool/Service hai isliye is par aapko apni Gmail ki id se login karna hoga. Agar aapka Gmail par ID nahi hai to Sabse pahle ID banaye. 




ID banane ke baad aapko Google Search Console ki Site par jana hoga.  Niche diye gaye link par click kar ke aap Search Console ki website par ja sakte hain.



Apni Post ko Google Search me kaise laye

Waha Sign in par click kar ke apni Gmail ID se login karna hoga. Log in karne ke baad aapke samne jo page khulega usme ek side me aapko ADD A PROPERTY likha nazar aayega, Aapko us Add a Property par click karna hai. 

Ab aapke samne kuch aisa screen aayega. 


Post ko Search Engine me kaise Laye

Image me jaha aap is blog ka link dekh rahe hai waha aap apne blog ka link dalenge or fir ADD par click karenge. Add par click karne par aapke samne aisa page khul jayega. 

Post ko Search Engine me kaise Laye

Aapko Upar ke Image me dikhaye anusar hi kaam karna hai. Sabse pahle aap Alternate Methods par click karenge. Waha aapko 4 options dikhenge. Usme aapko HTML Tag ko select karna hai. HTML Tag select karte hi aapke samne ek Meta Tag likha aa jayega. Meta Tag ko copy kar lijiye. Ab apne Blog me jaiye. Waha Template me jakar Edit HTML par click kariye. 

Ab aapke Samne aapke blog ka code dikh raha hoga, waha aapko <head> ke just niche Meta Tag paste kar dena hai. Uske baad Save Template par click kar Save kar lijiye or fir Back par click kar ke bahar aa jaiye. 


Post ko Search Engine me kaise Laye

Ab wapas Search Console me jakar Verifiy Button par click kariye. Aapka Blog verify ho jayega or kuch aisa message aayega. 


Post ko Search Engine me kaise Laye

Ab Continue par click kar ke Search Console ke Home page par jaiye. Waha aapko aapka Blog dikh jayega. Blog ke link par click karne par Aap Dashboard par pahuch jayenge. 


Post ko Search Engine me kaise Laye

Dosto, Ye to tha Google Search Console me apne Blog ko Add karne ka detail process. Apne agle post me mai aapko bataunga ki Blog-Post ko kaise Index karte hai or Sitemaps Kaise submit karte hai, sath in sabke fayde ke bare me bhi bataunga. 

Aapko is Post me di gai jankari kaisi lagi, is baare me comment kar ke hame jarur batayein or hamare blog ko bookmark/subscribe karna mat bhuliyega.



loading...
Previous
Next Post »

3 comments

Click here for comments
Anonymous
admin
February 8, 2017 at 9:32 PM ×

Sach mein ye aapke best posts mein se ek hai. Is trick ki jankari nahin thi mujhe, lekin ab main apne blog par ye prayog jaroor karunga. Aap hamesha yoon hi hamein achchhe posts dete rahein jisse ki hum apne blogging career mein successful ho sakein.

Reply
avatar
February 9, 2017 at 2:28 PM ×

Google Search Console me Sitemap kaise submit kare ye post bhi publish kiya ja chuka hai...Isey bhi jarur pdhiyega.. Thanks :)

Reply
avatar
Unknown
admin
May 24, 2017 at 6:09 PM ×

neeraj kumar suthar
नमस्ते सर,,।
आपके द्वारा लिखी पोस्ट और जानकारी ब्लॉग बनाने और प्रमोट करने में वाकई में बहुत उपयोगी है। आपके ब्लॉग से काफी कुछ सीखने को मिला
धन्यवाद

Reply
avatar
Thanks for your comment