Favicon Kaise Add karein

Favicon Kaise Add kare



Hello Dosto, Mai Rahul ek baar fir aapke liye ek naya post lekar aaya hu. Abhi tak maine aapko bataya ki Blog kaise banaye or uski setting kaise kare. Aaj mai aapko bataunga Blog ka Favicon kaise badle.

Favicon kisi bhi website ka ek icon hota hai. jab bhi ham koi website open karte hain to browser ke tab me hame us website ka naam or uska icon bhi hame dikhta hai. Jaise aap Facebook open karte hain to aapko Facebook ke sath sath facebook ka icon/logo F bhi likha dikhta hai. Niche diye gaye pics me dekhiye.



Aap soch rahe honge ye favicon kaise lagate hain. Ye bahut hi aasan hai or blogger me favicon lagana to or bhi jyada aasan hai. iske liye aapko blogger ke Layout me jana hoga. Fir waha Favicon ki widget ke edit par click kariye. Jaisa ki pic me dikhaya gaya hai.




Edit par click karte hi ek naya page khulega. Waha aapko choose file par click karna hai.





Choose file par click kar ke aap apne PC me save kiye hue icon ko select kar lijiye or fir save kar dijiye. Dhyan rahe aapke icon ka size 100 Kb se kam ho. Save karne ke baad aap Jab aap apne Blog ko open karenge tab bhi aapka Favicon Blogger ka B hi dikhayega lekin jaise hi aap apne blog ko bookmark karenge tab aapka select kiya hua favicon dikhne lagega, or kuch samay baad aapke blog ka bhi icon change ho jayega.

Ye jankari aapko kaisi lagegi, is baare me mujhe comment box me jarur bataye. Dhanyawaad.
loading...
Previous
Next Post »