Gmail par account kaise banaye


Hello Dosto, Aaj bhi bahut sare log aise hain jinhe apna khud ka E-Mail account banana nahi aata hai, vo log kisi jaan-pahchan wale se kah kar ya Cyber Cafe me jakar waha baithe ladke se kah kar apna Email account khulwate hain.

Mai aapka dost Rahul aaj aapko bataunga ki Gmail par account kaise banate hai. Gmail par account banana bahut hi asan hai. Sabse pahle aapko browser open karna hoga, waha upar address bar me www.gmail.com  type kar ke enter dabaiye. Aapke samne kuch is tarah ka page khul jayega.



Ab aapko Create Account par click kana hai. Ab aapke samne ek naya page khul jayega jisme aapse kuch information bharne ko kaha jayega.



Photo me dikhaye gaye Arrow batate hai ki ye important field hai or isey bharna bahut jaruri hai. Sabse pahle aapko apna Naam bharna hai, fir dusre box me aapka Surname ya Last name bharna hoga. Fir aapko apne pasand ka ek User Name choose karna hoga, ho sakta hai aapne jo User Name choose kiya hai vo pahle se hi kisi User ko diya ja chuka ho, tab Google aapko khud se kuch naye-naye User Name Suggest karega, agar aapko unme se koi naam pasand aaya to usey User Name me fill kar dijiye.



Fir agle box me Password fill karna hai. Password aapka aisa hona chahiye jo aasani se aapko yaad bhi rahe or koi bhi aasani se aapka password guess na kar sake. Ek strong password banane ke liye Alphabets(A-Z), Numbers(0-9) or Special Characters (@,#,$,% etc.) me se apna password chunna chahiye.

Fir agle box me aap apne chune hue password ko dubara dalenge. uske agle box me aapko apna Birthday fill karna hai. Fir aapko ye Male, Female select karna hai.


Fir uske niche wale box me apna Mobile Phone No. daliye, agle box me aapko Current Email Address bharne ko kaha jayega, agar aapke paas or koi Email Account nahi hai to uske just niche ek chhota sa box bana hai usey(Skip this verification) check (tick) kar dijiye. Fir niche aapko ek dhundhli si image dikhegi jisme kuch Numbers ya alphabates likhe honge. Aapko un alphabates ya numbers ko uske niche bane hue box me likhna hai.

Fir apna location India (agar dusre desh ke hain to aap apne desh ka naam select kariye) select kar ke niche wale box me tick lagana hai, jaha likha hai I agree to the Google.....or fir Next Step par click kar dena hai.

Aapka Gmail account ban kar taiyar ho chuka hai. Agle page me aapse Account Verification karne ko kahega. Aapka Mobile Number likha aayega or uske niche ek message likha hoga jisme aapse pucha jayega ki aapko verification code kaise bheja jaye.

Aap apni Suvidha anusar Text Message ya Voice call select kar ke  Continue par click kar denge. Thodi der me aapko verification code mil jayega us code ko Enter Verification Code box me enter kar ke continue par click kar dijiye.



Agle page par aapko Google+ par profile banane ka option aayega. aap chahe to profile bana sakte hain or chahe to No Thanks par click kar ke aage badh sakte hain.

Agle page par Get Started likha aayega jis par click karte hi aap apne Email par pahuch jaiyega, jaha pahle se hi Google ne aapko 3 E-mail kar rakha hoga.

Ab aapka Gmail account open ho chuka hai, jab bhi aapko Gmail band karna ho to Logout karna na bhule. Logout ka option uper kone me ek gol circle me hoga (us gol circle par aapki photo lagi hogi ya aapke naam ka pahle letter likha hoga), Sign Out kar ke bahar aane ke baad apko fir se login karne ke liye apna User Name or password dalna hoga or Enter button dabate hi aapka account fir se khul jayega.

Aapko ye jankari kaisi lagi, is bare me mujhe comment box me jarur bataye. or agar koi sujhav ho to vo bhi bataye. Dhanyawaad.


loading...
Previous
This is the oldest page