Naye Hindi Bloggers Ki 10 Galtiya

Naye Bloggers ki 10 Galtiya


Hello Dosto, Ek baar fir se aapka swagat hai mere naye post me. Pichle post me aapne padha ki Post publish karne se pahle kin baato ko dhyan me rakhna chahiye. Aaj mai aapko Naye bloggers ke dwara starting me ki jane wali galtiyo or usey bachne ke bare me bataunga.

Dosto, Mere is blog ka maksad aap sabhi ki help karna hai. Mai chahta hu ki Aap jab bhi is blog par aaye to aapko kuch naya sikhne ko mile, or yahi soch kar mai ab roj aapke liye kam se kam 1 post jarur dalunga.

Jyadatar log blog bana to lete hain lekin bina kisi jankari or anubhav ke vo blog ko sahi se maintain nahi kar pate hain or kai aisi galtiya kar dete hai jo unhe nahi karni chahiye or un galtiyo ke karan Search Engine me unke blog ki rank achchi nahi ho pati hai, jis karan unka bounce rate bhi badhta hai or earning bhi achche se nahi ho pati hai.

Post ko jyada lamba nahi khichte hue aaiye main topic par chalte hain.



Naye Bloggers ki 10 Galtiya (10 Mistakes of New Bloggers)
  1. Pahle din se hi Kamai ke bare me sochna

  2. Jyadatar log Blog/Website banate hi kamai ke bare me sochne lagte hain. Pahle din post dala or fir us par koi Ad lga kar roj check karne lagte hai ki aaj kitni income hui or jab agle 10-15 dino tak unke man layak income nahi hoti hai to vo dhire-dhire blog par aana kam kar dete hain or ek din blogging hi band kar dete hain.

    Aise logo se mai ye kahna chahunga ki aaj ke samay me Blogging me bahut scope hai or isme achchi income bhi hai lekin uske liye aapko isey samay dena padega.

    Sabse pahle to aapko jisme interest ho usi topic par blog banana hoga or fir usme roj kam se kam 1 quality post likhna hoga. Quality post ka matlab hai ki us post me jo jankari di gai hai vo puri tarah se aapke apne knowledge or experience ke aadhar par likhi gai hai, kahi se koi copy nahi ki gai hai.

    Jab aap roj apne blog par post dalenge to dhire-dhire Search Engine me aapke blog ki rank bhi badhegi or visitors bhi badhne lagenge jisse aapki earnings bhi badhegi lekin iske liye aapko Bina earning ke bare me soche kam se kam 6 mahine tak continue work karna hoga.  


  3. Dusro ke Articles ko Copy-Paste karna

  4. Aksar dekha gaya hai ki log Blogging me jaldi Safal hone ke chakkar me dusre Blog/Websites par likhe Articles ko copy kar ke or thoda edit kar ke apne blog par laga dete hai. Aisa kar ke vo log sochte hain ki vo bahut hi buddhimaan hain lekin vo ye nahi jante ki Google unse bhi jyada chalak hai.

    Aise Copy-Paste articles ko Google pakad leta hai or apne tarike se us blog par penalty bhi lagata hai Lekin is copy-paste ka sabse bada nuksan blog ki rank par padta hai or Blog kabhi bhi Google/Yahoo Search me pahle page par nahi aa pata hai.

    Isliye dosto mai aapko ye salah dunga ki Aap dusri website par jakar unke articles padhiye, fir usey apne website/blog par practical kar ke dekhiye or fir apne experience ke aadhar par Article likhiye.



  5. Ek sath kai Blog/Website par kaam karna

  6. Kuch Bloggers suruwaati safalta se itne jyada utsaahit ho jate hain ki vo ek sath kai naye blog bana dete hai ya kai naye domain purchase kar lete hain or ye sochte hain ki issey unki income or bhi jyada badh jayegi yaani ki jitne jyada blogs honge utni jyada income.

    Lekin dosto, yaha aap bahut badi galti karte hain. Jyadatar log 2 ya 3 se jyada blog to bana lete hain lekin baad me Samay ki kami ke karan vo kisi bhi blog ko paryapt samay nahi de pate jis karan unke blogs par daily updates nahi ho pate hai or unke visitors unse dur hone lagte hai or visitors kam honge to earning par bhi asar aayega.

    Isliye Mai aapse yahi kahunga ki Ek hi Blog banaiye lekin us par pura time dijiye.


    Isey Bhi Padhein






  7. English Articles ko Hindi me translate kar ke Apne Blog par lagana

  8. Maine kai aise websites/Blogs dekha hai jaha kisi dusre websites par lagi English Articles ka Hindi me translate kar ke dala gaya hai. 

    Bahut log aisa sochte hain unhone English me likhe Articles ko Hindi me translate kar ke apne blog par dala hai isliye Google bhi unhe kuch nahi kar payega. 

    Dosto, Technology ke field me roj naye-naye changes ho rahe hai, ho sakta hai kisi din koi aisa software ban jaye jo aise translated Articles ko bhi pakad le to us din aapke blog par penalty lagna ya blog ka remove hona ya copyright ka mamla banna tay hai.

    Isliye ek baar fir se kahunga Copy-Paste karne se bachiye or Apni jankari ke aadhar par Articles likhiye.







  9. Apne readers/visitors ko samajhne me galti karna

  10. Bahut Sare log blog to bana lete hain lekin vo ye nahi samajh pate ki unke blog par aane wale visitors kya chahte hain, kis tarah ki post padhna chahte hain or Sabse badi baad vo aisa kya search kiye jissey Search Engine ne unhe aapke blog ka link dikhaya.

    Ye samajhne ka sabse aasan tarika hai apne blog ko Google Analytics se jodna. Google Analytics par jakar aap apni gmail id se Sign Up karein or waha apne blog ka link Add kar dein. Fir waha aapko blog verify karne ke liye bola jayega, blog verify kariye uske baad 24-48 ghante ke andar aapke blog ka pura data Google Analytics par milega.

    Google Analytice par detail kaise check karein is par post jaldi hi likhunga.

    Google Analytics par aapko puri detail reports jaise Total Visitors, Current Active Visitors, Page views, Page Sessions, Visitors Country name, Device sabki detail mil jayegi.

    Uske baad aapko roj is detail ko check karna hai, usey Analyze karna hai or uske according apna post likhna hai. Agar aap aisa karte hain to aapko success hone se koi nahi rok sakta.







  11. Blog ko daily update nahi karna

  12. Naye Visitors ki sabse badi problem hai ki Starting me to vo lagatar kai ghante tak blog ko time dete hai lekin kuch samay baad vo blog par aana band kar dete hai jis karan se blog par daily update ruk jata hai.

    Jab Kuch dino tak Blog par daily update nahi hota to Blog ki page rank girne lagti hai or sath me visitors bhi aana band kar dete hain.

    Isliye kisi bhi Blog ki safalta ke liye ye jaruri hai ki usey lagatar update kiya jaye.









  13. Readers/Visitors ke comments ka reply nahi karna


  14. Naye Bloggers ki ek or badi galti ye hai ki vo apne visitors ka reply nahi karte ya sirf Thanks likh kar hi kaam chala lete hain lekin vo nahi jante ki aisa kar ke vo bahut badi galti karte hain.

    Blog par aane wale har comments ka reply karne se Visitors or Blogger ke bich ek rishta sa ban jata hai or Blogger ke dwara har individual visitors ko reply dene se vo visitors apne ko special samajhta hai or fir vo baar-baar us blog par visit karta hai. Jisse Blog ka page views bhi badhta hai.

    Comment ka reply karne se Blog ke SEO par bhi fark padta hai or issey Blog ki page rank badhne me bhi madad milti hai.







  15. Posts ke link har blog/website par paste karna

  16. Naye Bloggers ki ek problem ye bhi hai. Post likha nahi ki uske link Facebook, Twitter, Whatsapp or sabhi Social Sites par dalna suru kar dete hain. Jitni bhi Blog/Websites ke baare me unhe pata hota hai sab par jakar apne blog ka link daal dete hai.

    Aise andha-dhundh link post karne ko Internet ki duniya me Spamming kahte hain or aisa karne par Search Engine ya Google aise links ko apne list se remove kar dete hain jisse unke post ka link search me aa hi nahi pata hai.

    Ab aap kahenge ki link nahi post karenge to hamare Blog ke bare me logo ko pata kaise chalega. Aapka kahna bhi sahi hai lekin andha-dhundh link post karne ki jagah Facebook or Whatsapp par apne Blog ka Page/Group banaye or usme apne Blog Post ka link daal dein, aisa karne se ek sath bahut logo ko aapke blog ke bare me pata chal jayega.

    Iske alawa aap Webmasters me jakar bhi apne Blog Post Index kar sakte hain. Webmasters me Blog Post ko kaise Index karte hai is bare me mai apne agle post me aapko bataunga.



  17. Keywords ka jarurat se jyada prayog

  18. Kisi bhi Blog or Blog Post ko Search Engine me upar lane me us post me use kiye gaye Keywords bahut hi important role play karte hain lekin agar keywords jarurat se jyada prayog kiye jaye to vo us post ke liye nuksandayak sabit hota hai.

    Post me Jarurat se jyada keyword use karne par Search Engine us post ko nazarandaj kar deta hai jisse aapka post or blog search me apni ranking kho dete hain.

    Isliye jarurat se jyada Keyword ke prayog se bachein.





  19. Backlinks nahi banana

  20. Upar ke Topic me maine bataya ki andha-dhundh link post nahi karna chahiye iski jagah aapko jyada se jayad backlinks banane par dhyan dena chahiye.

    Ab aap soch rahe honge ki Backlinks kya hota hai?  Kisi bhi dusre Blog/Websites par aapke dwara post kiye gaye links jinse aapke blog par visits aate hai, backlinks kahlata hai.

    Ab aap soch rahe honge ki isey to Spamming kahte hain. Mai aapko batana chahunga ki Spamming or Backlinks me fark hota hai.



    Spamming me aap Apne blog ke links har websites/Blogs par post karte jate hai jo baad me site owner ke dwara remove kar diye jate hai or kai baar Google bhi un links ko SPAM ki category me daal deta hai.

    Wahi Backlinks banane ke liye ham dusre Websites/Blogs par jakar waha Guest Post karte hain, Comments dalte waqt jo form fill karte hain usme apne blog ka link dalte hain jissey koi bhi person hamare naam par click kar ke hamare Blog par aa sakta hai.

    Iske alawa agar kisi website owner ya blogger se achchi banti hai to aap usse request kar ke Apne blog ka link unke site par My Favorite Site ki list me bhi dalwa sakte hain, ye bhi ek bahut achcha backlink hota hai.

    Ummid karta hu aapko Backlink or Spam ke bich ka difference samajh me aa gaya hoga.

    Aapko hamara Aaj ka ye Post kaisa laga is bare me hame Comment Box me jarur bataiyega or hamare Blog ko Bookmark karna mat bhuliyega. Thanks :) 

loading...
Previous
Next Post »

2 comments

Click here for comments
February 15, 2017 at 1:15 PM ×

Very Good Information. Even i did some of the mentioned mistakes while while post a blog.
Thanks for your precious advice.

Reply
avatar
Admin
admin
February 15, 2017 at 2:36 PM ×

Thanks Khursheed bhai. Mujhe ummid hai ab aapko blog banane ya blog-post likhne me koi problem nahi aayegi :)

Reply
avatar
Thanks for your comment