Blogger Me Jaruri Widget Kaise Add Kare

Jaruri Widget Kaise Add karein




Hello Dosto, Mai Rahul ek bar fir aapka apne naye post me swagat karta hu. Abhi tak maine aapko bataya ki Blog kaise banye, Blog me Post kaise daale, Blog ki setting kaise kare...etc...

Aaj mai aapko bataunga ki Blog me kuch jaruri widget kaise add karein. Aapne dekha hoga ki jyadatar blogs me pageviews show hota hai, kisi live traffic bhi dikhta hai to kisi blog me chatting ka bhi option hota hai. Ye sare widget aap bhi apne Blog me add kar sakte hain.

Isey Bhi Padhein



Sabse pahle hum jante hain ki Blog me Pageviews batane wala Widget kaise add karenge. Iske liye aapko apne Blog ke dashboard me jana hoga, waha Layout par click karna  hoga. Ab Layout me jane par aapko Add a Gadget ka option dikhega.

Widget, Blog Widget,

Add a Gadget par click karein.  Ek naya page khulega, usey scroll kar ke niche jaye waha aapko Blog's Stats milega.


Blog's Stats me (+) par aapko click karna hai. Ab aapke samne aisa page dikhega.

Blog Stats, Pageviews

Ab aap apni pasand ka koi bhi widget select kar lein or Save par click kar dein. Ab aap apna Blog open kariye, aapke Blog me pageviews batane wala widget lag chuka hai.

Aise hi aap Blog Archive, Labels, Pages, Popular Posts, Polls etc. ke widget add kar sakte hain.

Ab bari hai Live Traffic ki. Live Traffic widget add karne ke liye sabse pahle aapko FEEDJIT (Click Here) website par jana hoga. (1) Waha jakar aapko Widget ka apni pasand ka colour chunne ka muaka milega.


(2) Fir aapko niche diye gaye list me se Blogger Blog ya apni pasand ke kisi bhi platform ko chunna hoga. Jaise Blogger Blog, Wordpress.. etc. fir (3) Go button par click kana hai. Click karte hi aapke samne ek code dikhai dega. Aapko us code ko copy kar ke apne blog ke layout me jana hai. Waha Aap Add a Gadget par click karna hai.

Waha HTML/Java Script ko select karna hia, waha ye code paste karna hai or Save kar dena hai. Ab aapke Blog me Live Blog Traffic show hone lagega.

Dosto, aapko ye jankari kaisi lagi, is bare me comment me jarur bataye.



loading...
Previous
Next Post »