Google Analytics Me Blog Add Karne Ke Fayde

Google Analytics me Blog Add karne ke fayde



Hello Dosto, Ek baar fir aapka swagat hai mere naye post me. Abhi tak Aapne Google Search Console or Google Analytics me Blog add karne ke bare me padha. Aaj mai aapko bataunga ki Google Analytics me Blog Add karne ke kya-kya fayde hain.

Har Website Owner or Bloggers ko Google Analytics par apna account jarur banana chahiye. Aisa kar ke vo apne blog/site ki puri detail check kar sakte hain or uska analysis bhi kar sakte hain.

Isey Bhi Padhein


Aaiye jante hai 

Google Analytics par Blog Banane Ke Fayde ke bare me. 



  1. Agar aap janna chahte hain ki aapke Blog/Site par abhi is waqt kitne log visit kar rahe hain to aap usey bhi live dekh sakte hain.
  2. Hamare Blog/Site par sabse jyada visitors kis Country se aaye, ye bhi hum dekh sakte hain.
  3. Kis Device (Mobile, Tablet, Computer etc.) ka use kiya, ye bhi hum dekh sakte hain.
  4. Un sabhi visitors ke device me kaun sa Operating System install tha, ye bhi pata chal jayega.
  5. Visitors sabse jyada kaun sa browser use karte hain, ye bhi hum dekh sakte hain.
  6. Referral site kaun si hai matlab vo kis site se ho kar hamare site/blog par aaye hain, Jaise Facebook, Twitter, Google+ ya kisi dusri site se.



  7. Unhone aisa kya search kiya jisse Search Engine ne unhe hamare Blog/Sites ka link dikhaya matlab vo kaun sa keyword search kar ke hamare blog/site par aaye hain.
  8. Google Analytics me Ek din/Ek Mahine/Ek saal or Blog/Site banane ke baad se ab tak kitne visitors aaye, ye sab hum dekh sakte hain.
  9. Total page view kitna raha. Din or mahine ka page views compare bhi kar sakte hain.
  10. Bounce Rate kitna raha yani badha ya ghata. Last Month ki tulna me current Month me Bounce rate badha hai ya ghata hai ye bhi check kar sakte hain.
  11. Jitne bhi visitors aaye usme se kitne visitors English bolne wale hai, kitne Hindi blote hai or kitne dusri or language bolte hai, ye sab bhi hum check kar sakte hain.
  12. Naye Visitors kitne aaye or Purane visitors kitne aaye, isey bhi hum check kar sakte hain.



  13. Hamare Blog/Sites par sabse jyada kis page ko visit kiya gaya or uske thik baad ya thik pahle kaun se page ko visit kiya gaya tha, ye bhi check kar sakte hain.
  14. Kis page par Visitors ne sabse jyada samay bitaya or kis page se vo kuch hi samay me nikal gaye, ye bhi yaha dekha ja sakta hai.
  15. Hamare Blog/Site/page ka loading time kitna hai, or page loading ka timing kaise badhaye ye bhi suggestion hame isme milta hai.
Ye to sirf wahi jaruri detail thi jo aapko janana chahiye, iske alawa bhi bahut sare fayde hain jo aap khud research kar ke jaan sakte hain. 

Short me kahe to Hamare Blog/Site ki visit badhane, Usey Search Engine me Top par lane ke liye uska day-to-day analysis karna bahut jaruri hai or ye kaam hum sirf Google Analytics me jakar hi kar sakte hain. 



Isliye Agar aapne abhi tak Google Analytics par apni Blog/Site ko Add nahi kiya hai to jaldi se add kar lijiye, Yakin maniye aap bahut fayde me rahenge. 

Ummid karta hu aapko ye jankari achchi lagi hogi. Hamesa ki tarah comment kar ke mujhe jarur bataiyega, Sath hi apne dosto or Relatives ke sath hamare blog links ko jarur share kariyega. Thank You.

Isey Bhi Padhein




loading...
Previous
Next Post »