Adsense Se 1000 Visits Par Kitni Earning Hoti Hai.

1000 Visits Par Kitni Earning Hoti Hai.

Hello Dosto, Aaj Blogging ek Carreer ke rup me teji se ubhar kar samne aaya hai. Pahle Blogging ka matlab hota tha shaukiya taur par blog likhna lekin ab blog ke jariye hum paise bhi kama sakte hain. Yahi karan hai ki jyada se jyada log Job chhod kar blogging ko apna carreer bana rahe hai. 

Blogging Start karte waqt sabhi yahi sochte hain ki kaash unka Google Adsense approve ho jaaye jisse vo jyada se jyada kama sake.

Bahut logo ka Adsense Approve nahi hota hai to vo dukhi ho jate hai or jinka approve ho jata hai unhe aisa lagta hai jaise koi bahut bada khazana haath lag gaya hai.

Bahut khush hokar vo log Adsense ka Ad apne blog par lagate hai lekin unki khushi kuch hi dino me gayab ho jati hai jab achchi visits ke bavjud unhe Adsense se utni earning nahi hoti jitni ki vo ummid kiye rahte hain.

Tab un log ke man me yahi sawal uthata hai ki aakhir


Google per 1000 visits par kitne paise deta hai?




Dosto, Is sawal ka jawab janane ke liye sabse pahle hame ye janana hoga ki Google Ads se kaise earning hoti hai.

Generally, jab hum koi ads lagate hai to usse hame do tarah se earning hoti hai. Ek to CPM yani per thousand impression se, matlab 1000 log jab hamara ads dekhte hai to ussey bhi hame earning hoti hai.

Dusra tarika hai CPC yani per click se. Jab visitors hamare blog/site par aate hai or agar vo kisi ads par click karte hain to usse bhi hamari earnings hoti hai.

Adsense ke bhi Ads CPC ads hote hai yani jab un par click hota hai tabhi hame earning hoti hai otherwise nahi.



Isey samajhne ke liye hame thoda mathematic calculation karna padega.

CPC yani Cost Per Click - Jab koi visitors hamare blog par kisi ads par click karta hai to us 1 click par jitni earning hoti hai vo uska CPC kahlati hai.

Maan lijiye 1 click karne par hame $0.1 mila to ye us ad ka CPC kahlayega.

CTR yani Click Through Rate - CTR se hame pata chalta hai ki Blog par aane wale per 1000 visits me se kitne logo ne ads par click kiya.

Maan lijiye, blog par 1000 visits aaya or usme se 50 logo ne ads par click kiya to aapka CTR ho gaya 5% .

CPC kai baato par nirbhar karta hai jaise Visitor kis Country se hai, Ad kis type ka hai, Website ka Topic kya hai, Visitors kaun si Language bolta hai etc. or bhi kai karan hote hai jisse CPC kam ya adhik hota hai.


Aaiye is bare me thodi detail me baat karte hain.




#1. Website Ka Topic

Kisi bhi ads ki high CPC ke liye sabse important factor hota hai Website ka topic. Aapke site par jo ads aate hai unme se jyadatar aapke website ke content/topic se related hote hai.

Jaise mere blog par bhi aap dekh sakte hain, 1-2 ads aise honge jo is blog ke topic se milte julte honge.

Agar high CPC wala content hoga to usi se related Ads bhi show honge jis par click hone se hame achche paise milne ke pure chance hote hai.

Ab aap soch rahe honge ki kaise pata kare ki kaun topic high CPC wala hai. Niche mai kuch aise hi topic ki list de raha hu. (high to low)

  1. Software/App/Wallpaper Downloading Websites
  2. Insurance
  3. Health
  4. Make Money Online
  5. Technology
  6. SEO (Search Engine Optimization)
  7. Web Development
  8. Entertainment
  9. Beauty Tips
  10. Breaking News

#2. Country

Hamare site/blog par aane wala visitors kis country se belong karta hai, ye janna hamare liye bahut importance hai. Agar Visitors USA, UK jaise countries se hai to aapko CPC high milega lekin Asian countries jaise India, Bangladesh, Pakistan se ho to CPC kam milega.



#3. Ads Type

Hamare site/blog par jo Ads show hote hai vo 2 karano par nirbhar karte hain. Pahla hamare blog post me use kiye gaye Keywords se related Ads hote hai or Dusra jab koi visitors kisi dusri website par "jaha achche CPC wale ads show ho rahe honge", waha se hamare site par aaya hoga to usey wahi ads hamare site par bhi dikhega.

#4. Language

High CPC ke bada karan Language bhi hai. Agar aap ke site par Hindi bolne wale log aate hai to aapko kam CPC milega lekin English, Spanish bolne wale log aate hai to aapko High CPC milega.

Duniya me sabse jyada Chineese, English aur Spanish bolne wale log hai isliye agar ye bhasa bolne wale log aapke site par aate hai to aapke Ads ka CPC me bahut fark padega.

Upar bataye gaye details ke aadhar par ab ek final calculation kar ke dekhte hai ki 


1000 visits par Adsense se kitni earnings ho sakti hai.




1) Maan lijiye aaj aapke site ke ads ki CPC $0.10 hai (Approximate, ye kam ya adhik bhi ho sakta hai) or CTR 5% hai yaani har 100 me se 5 log ads par click jarur kar rahe hain.

2) Ab hame 1000 visits par earning calculate karna hai.

100 visits par 5 click hote hai to
1000 visits par 5 X 10 = 50 Click honge (Approximate)

Total Earning = CPC X CTR
                      = $0.10 X 50 Click = $5

Dosto, upar jo calculation kiya gaya hai vo puri tarah se approximate hai. CPC or CTR kam ya adhik bhi ho sakte hain. Lekin upar diye gaye calculation se aap itna to samajh gaye honge ki Adsense se hame kaise earnings hoti hai.

Adsense se achchi income ke liye jaruri hai ki aapke site par quality content dala jaye or USA, UK jaisi countries se jyada visits ho. 

Aapko jankar hairani hogi ki achche content hone or High CPC wale countries se visits aane par ek click par $20 tak mil sakta hai. Isliye mai ek baar fir kahunga ki jo bhi post daalein vo quality post ho or puri kosis karein ki pure world ke log aapke site par visit kar paayein.

Aapko aaj ka post kaisa laga, is baare me comment kar ke jarur bataiyega. Koi sawal ya sujhav ho to behichak mujhe comment ya mail kar sakte hain.

Mail karne ke liye Contact Us form par visit karein or hamesa aise hi jankari bhara post padhne ke liye hame subscribe karna mat bhuliyega. Thank You.


Isey Bhi Padhein




loading...
Previous
Next Post »