Blog Se Paise Kamane Ke 5 Best Tips

Blog Se Paise Kaise Kamaye



Blogging aaj ke samay me ek naye Carreer ke rup me bahut teji se ubhara hai. Pahle log apne shauk ke liye Blog banate they lekin aaj jyadatar logo ka maksad Blog se paise kamana hai.

Blog banane ke baad bahut se logo ka pahla sawal yahi hota hai ki aisa kya karna chahiye jisse hame jaldi hi dher sara paisa milne lage.

Jo log sirf paise kamane ke liye blog banate hai unhe mai ye kahunga ki aap dhairya ke sath apna kaam karte rahiye, ek baar aapka blog famous ho gaya to paise khud hi aane lagenge.

Aapka Blog jaldi famous ho jaye uske liye aapko lagatar quality post karna hoga, uska SEO karna hoga tab jakar Blog famous hoga or visits badhenge.

Ek baar jab visits badh jaye tab aapka asli kaam suru hota hai yani blog se paise kamana. 

Aaiye jante hain 



Blog se paise kamane ke 5 tarike




  1. Internet Marketing

  2. Dosto, jab aap kisi dusri website/blog open karte honge to aapko waha Adsense ya waise hi kisi dusre network ka Ads laga dikhta hoga. Kai baar aap un ads par click bhi kar dete honge or kai baar bina click kiye bhi nikal jate honge.

    Is tarah ke Ads laga kar bhi aap achcha paisa kama sakte hain. Ye jo Ads lage hote hai ye do tarah ke hote hai. CPM Based & CPC based.

    CPM (Cost Per Impression) :- CPM ad me per thousand Ads view par paise milte hai. Maan lijiye aapke blog par koi CPM ad laga hua hai or aapke blog ki daily visits hai 1000.

    Ab agar maan liya jaye us CPM ads ka rate hai $1/1000 or aapke blog par daily ke 1000 visits hote hai. Is tarah aapke blog se aapke daily ki income hogi $1.

    Mai janta hu aap soch rahe honge ki ye to bahut kam hai lekin ye sirf ek example hai. kisi bhi Ad ka CPM bahut sari baato par nirbhar karta hai jaise Ad type, Country, Website/Blog kaisa hai etc.

    In sab ke aadhar par CPM rate kam ya adhik bhi ho sakta hai. CPM ad ka fayda tabhi ho sakta hai jab aapke blog par bahut jyada visits aate ho.

    CPC (Cost Per Click) :- Is tarh ke ads me visits se jyada click mayne rakhti hai. CPC ads me impression se koi matlab nahi hota hai. Isme jo bhi paise milte hai vo visitors dwara Ad par click karne se milte hai.

    Isye aise samajhiye. Agar aapke blog par daily 1000 visits hoti hai lekin aapne jo ads lagaya hai vo CPC type ads hai to aapko us 1000 visits se tab tak ek paisa nahi milega jab tak ki koi us ad par click na kar de.

    CPC ads se jyada or jaldi paise kamaye ja sakte hai. Maan lijiye, Aapke site par 1000 visitors aaye jisme se 100 se CPC ads par click kar diya or us din us ads ka rate raha $0.02 per click.

    tab aapka us din ki earning hogi- $0.02 X 100 = $2.
    Jaisa ki mai upar bata chuka hu ad ka rate kai karano par nirbhar karta hai. CPC ads ka rate $0.01 se $10 per click tak ja sakta hai ye Ad type or location par depend karta hai.

    Ab tak aap samajh gaye honge ki kis tarah ke ads se jyada fayda hota hai. Internet Marketing or Ad Network ke bare me puri detail mai apne agle post me bataunga.








  3. Affiliate Marketing


  4. Kam samay me jyada paise kamane ka sabse best option hai Affiliate Marketing. Is tarah ki marketing me aapko dusri companiyo ka product apne blog/site par online sale karna hota hai jiska aapko commission milta hai.

    Aaiye pahle jante hai Affiliate Marketing kya hai?

    Aap jab koi naya mobile ya laptop kharidte hain to usse pahle internet par uski puri detail jaise specification, reviews ye sab check karte honge.

    Aap Kai aisi sites jaise www.mysmartprice.com ya www.smartprix.com jaise sites par jakar Mobile ya Laptop ki detail check karte honge. Sab check karne ke baad aapko unhi sites par ye bhi dikhta hoga ki Amazon par us device ka kya rate hai, Flipkart par kya rate hai etc. or fir aapko wahi usey purchase karne ke liye Buy Now ka button bhi dikhta hoga.

    Agar aapko online purchasing karni hai to aap us button par click kar ke us website par jayenge or waha se apne liye vo device order kar denge. Lekin is sare process me review or price batane wali sites ko kya fayda hua? 

    Unhe isse bahut fayda milega kyuki unlogo ne Amazon, Flipkart, ebay etc ki affiliate marketing le rakhi hoti hai.

    Ab maan lijiye aapne Amazon ki affiliate marketing le liya or uska ad apne blog/site par laga diya. Ab jo visitors aayenge vo us detail ko check karenge fir us ad par click karenge to Amazon ki site par pahuch jayenge or apne pasand ka products kharidenge.

    Unke purchase karte hi aapka commission ban jayega. Normally ek ek purchase par 3% se 20% tak ka commission milta hai lekin vo product par depend karta hai.

    Iska sabse bada fayda ye hai ki aap apni site se jitne jyada logo ko in Shopping sites jaise Amazon, Flipkar par bhejenge or vo log jitni purchasing karenge utna hi jyada aapki earnings badhegi.

    Lekin iske liye pahle aapko Amazon, Flipkart jaisi site ka Affiliate program join kar ke apna Affiliate link banana hota hai.



  5. Direct Ad Laga Kar


  6. Agar aapke site ki traffic bahut achchi hai to aap Direct Advertisement ke dwara bhi paise kama sakte hain.

    Is tarah ke Advertisement me aap apne aas pas ke local dukandaar ya Companies se paise lekar unke Ads dikha sakte hain. Ads ke kitne paise lene hai, kab tak Ads lagaye rakhna hai ye sab aapke upar depend karta hai. Agar aapke site par jyada traffic aa raha hai to aap jyada paise bhi le sakte hain.

    Is tarah ke Ads ka sabse bada fayda ye hai ki aapko kam Click ki chinta nahi rahti hai or revenue share nahi karna padta hai jabki dusre ad networks ka Ad lagane par revenue share karna padta hai.





  7. Paid Reviews


  8. Ye bhi online earnings ka ke bahut hi achcha tarika hai lekin iske liye jaruri hai ki aapka blog/site well establish ho or aapke site par daily visits lakho me ho.

    Maan lijie aap apne site par Computer/Laptop ke baare me detail me jakari dete hai. Jab aapki site achche se establish ho jati hai or famous ho jati hai tab Laptop/Computer banane wali companiya aapse contact kar ke aapse kahengi ki aap unke product ke baare me achche-achche reviews apne site par likhiye or badle me vo aapko iske achche paise bhi dengi.






  9. Dusro ko Service dena


  10. Aapne apna khud ka blog/site banaya or aapki site famous ho gai. Ab aapki site par bahut sare log aakar aapse advice lena suru karenge, Starting me aapne sabhi ko free advice diya lekin ab aap iske liye paise lete hai. Is tarah se aap dusro ko apni service dete hain.

    Maan lijiye aapko Blogging or Internet ki bahut achchi knowledge hai. Aapse koi kahta hai ki usey website ya blog banwana hai to aap uske liye website ya blog bana sakte hain or iske liye usse paise le sakte hain.

    Kisi ke Blog/post ka SEO kar sakte hain, Post ko viral karne me help kar sakte hain, dusro ke liye article likh kar bhi paise kama sakte hain etc.

    Aapko aaj ka ye post kaisa laga is bare me mujhe comment kar ke jarur bataiyega. Agar koi sawal ya sujhav to mujhe comment kar ke ya Contact Us ke jariye mail kar ke bhi bata sakte hain. Thank You.


Isey Bhi Padhein



loading...
Previous
Next Post »

3 comments

Click here for comments
Elect Guru
admin
March 2, 2017 at 9:33 PM ×

ahul ji, ye aapne bahut hi achchhi jaankari di hai. Choonki mai abhi blogging mein new hoon, isiliye mujhe in sabi baaton ka knowledge nahin hai. Jaisa ki 4 no mein aapne bataya ki yadi hamare blog ki pageviews laakhon mein hon to koi company apna adds mere site par lagwa sakti hai. To yahan aapne ye clear nahin kiya ki wo company hamein kitne paise dengi. Kis tarah se usse hamein income hogi is baat ko details mein samjha dijiye. Aur aapke reply aur agle post ka mujhe besabri se intjaar hai.

Reply
avatar
Elect Guru
admin
March 2, 2017 at 9:36 PM ×

Rahul ji, ye aapne bahut hi achchhi jaankari di hai. Choonki mai abhi blogging mein new hoon, isiliye mujhe in sabi baaton ka knowledge nahin hai. Jaisa ki 4 no mein aapne bataya ki yadi hamare blog ki pageviews laakhon mein hon to koi company apna adds mere site par lagwa sakti hai. To yahan aapne ye clear nahin kiya ki wo company hamein kitne paise dengi. Kis tarah se usse hamein income hogi is baat ko details mein samjha dijiye. Aur aapke reply aur agle post ka mujhe besabri se intjaar hai.

Reply
avatar
Admin
admin
March 3, 2017 at 2:41 PM ×

Anand bhai, jab bhi koi company kisi blogger/site owner se contact kar ke apne ads lagwayegi to vo us site owner personal deal karegi. Site owner ke upar depend karega ki vo kitne paise lega, payment kis mode me lega or ad kis type ka lagana hai matlab CPM type ya CPC type...ye sab company or site owner mil kar decide karte hai. isliye is bare me likhna sahi nahi hai.

Reply
avatar
Thanks for your comment