Best Applock for Android

Best App lock for Android

Dosto, Aap sabhi Smartphone jarur use karte honge. Aapme se bahut logo ko Smartphone thik se handle karne bhi nahi aata hoga matlab Call karna ya receive karna. Message karna, Whatsapp, Facebook chalane ke alawa uske security se related baate pata nahi hogi.

Aaj har kisi ke paas Android ya iOS Smatphone hai or har koi usme apne jarurat ke anusar Photos, Videos, Files etc rakhta hai. Unme se kuch files aisi bhi hoti hai jo hum nahi chahte ki koi or usey dekhe ya padhe.

Aisi files ko hum lock kar ke secure karna chahte hain lekin sahi jankari nahi hone ke karan hum koi bhi App Lock use kar lete hai jis karan hamari files/data bhi corrupt ho jata hai.

Aaj Mai aapko kuch aise apps ke bare me bataunga jo na sirf aapke files ko unwanted persons se secure karte hai balki aapke files ko corrupt hone se bhi bachate hai.

Aaiye jante hai in Apps ke bare me.


Top 5 Best Applock for Android



  1. AppLock

  2. Best App lock for Android

    AppLock bahut hi achcha or easy to use App hai. Iske jariye kisi bhi app ko lock karne ke liye hame password set karna padta hai, iske alawa Pattern lock ka bhi use kiya ja sakta hai. Iske naye version me Finger print lock ki bhi suvidha hai lekin ye facility Android 6.0+ OS wale Smart Phone ke liye available hai.

    AppLock se sirf app hi nahi Image or Video bhi hide kiya ja sakta hai. Isse hide kiye gaye Image or Video, Gallery me bhi show nahi hota hai.

    AppLock me invisible Pattern Lock hai jisse hum kisi ke samne pattern lock kholte bhi hai to usey hamara pattern nahi dikhega.

    Iske alawa hum AppLock se kisi bhi App ke icon ko hide bhi kar sakte hai, kisi dusre person ke dwara apne app ko uninstall hone se bacha sakte hain, yaha tak ki hum AppLock ko better look dene ke liye AppLock Screen ka background bhi change kar sakte hain. Niche diye gaye Download Button par click kar ke aap ye APP download kar sakte hain.




  3. Clean Master


  4. Best App lock for Android
    Clean Master ek Multipurpose App hai. Is App me App Lock ke alawa Antivirus, Junk File Cleaner, Phone Booster etc bhi maujud hai. 

    Ye app apne aap me ek complete package hai jo aapko kai sare alag-alag apps install karne se chhutkara dilata hai. Yahi karan hai ki ye App aaj ke samay me jyadatar logo ke mobile me maujud hai.

    Iske AppLock ki ek khas baat hai ki agar koi person aapka Smartphone lekar locked app ko galat password/pattern dal kar kholne ki kosis karta hai to ye app uski selfie le leta hai or us person ko pata bhi nahi chalta hai.

    Agar aap extra apps install karne se bachna chahte hain to Clean Master aapke liye sabse best rahega.




  5. Leo Private Zone


  6. Best App lock for Android

    Ye bhi ek Multipurpose App hai. Is App se aap apne Apps ko lock kar sakte hai, sath hi Images or Videos ko bhi Gallery se hide kar sakte hain. Ye app bhi intruder ki selfie le sakta hai.

    Is app me aapko Private Browsing ki bhi facility mil rahi hai wahi iska sabse bada feature hai Anti-theft. Is feature ki sahayata se aap apne chori ho chuke smart phone ko bhi google map par locate kar sakte hain.

    Isme Phone Booster or Call Blocker ki facility bhi hai. Agar aap App lock ke sath-sath Private browsing bhi karna chahte hain to ye App aapke liye hai.



  7. Perfect AppLock (App Protector)


  8. Best App lock for Android

    Ek aur sabhi khubiyo se bhara perfect app. Perfect AppLock aapke Apps ko to lock karta hi hai sath hi iske jariye aap apne incoming or outgoing calls bhi lock kar sakte hai jisse koi dusra person aapke Smartphone se Call Dial ya Receive na kar sake.

    Iske alawa aap is App se apne Wifi, Bluetooth, Mobile Data, USB bhi lock kar sakte hain. Phone chori hone par aap sirf ek SMS apne Smart Phone par send kar ke AppLock service start kar sakte hain.

    Ye app 3 baar galat password dalne par us person ka selfie le leta hai. Agar aap App ke alawa apne Call or Mobile Data Lock karna chahte hain to aapko ye App jrur install karna chahiye.




  9. App Locker - Lock Any App


  10. Best App lock for Android
    Again All in One App. Ye App aapke Photos, Videos, Documents, Apps sabhi ko lock kar sakta hai, iske alawa aap apne calls, SMS, E-Mails ko bhi aap lock kar sakte hain.

    Is app ki sabse khas baat ye hai ki isse aap apne sabhi apps ko individually lock kar sakte hain. Matlab agar aapne apna Smart Phone unlock kar ke kisi ko use karne ke liye diya to aap jis app ko unlock karenge, dusra person sirf usi app ko use kar payega, agar vo koi or app open karna chahega to usey vo app locked dikhega.

    Agar aap apna password bhul jate hain or aapke phone me internet connection bhi nahi hai, aise me ye app aapko offline pasword recovery ka option bhi deta hai.


    Dosto, AppLocks app to bahut sare hai lekin upar bataye gaye Apps Multipurpose hai jo App lock karne ke alawa or bhi kai kaam kar sakte hai.

    Maine apni taraf se best AppLock ke bare me batane ki puri kosis ki hai. Agar aapki nazar me or bhi koi isse badhiya AppLock hai to mujhe comment kar ke jarur bataiyega.

    Ummid Karta hu aapko ye post pasand aaya hoga. Agar koi Sawal ya Sujhav ho to jarur bataiyega. Thank You.


loading...
Previous
Next Post »