Google Adsense Ke 15 Fayde

Google Adsense Ke Fayde


Dosto, Jab hum koi Blog ya Website banate hai to us par Ads lagane ke liye sabse pahli prathmikta Google Adsense ko dete hai. Hum sabhi chahte hain ki hamare blog/site par Google Adsense ke Ads dikhe.

Lekin Kabhi aapne socha hai ki hum Google Adsense ke hi Ads kyu lagana chahte hain?

Aaj is post me me hum inhi sawalo ka jawab talashenge.

Jyadatar blogger/site owner Google Adsense ka prayog isliye bhi karte hai kyuki isey use karne me koi problem nahi hoti matlab iske code bilkul simple hai or non-technical person bhi isey apne blog me use kar sakta hai.

Iske alawa Adsense se hone wali earning dusre Ad Networks ki tulna me jyada hoti hai. Adsense or bhi kai sari facilities hame deta hai.

Jyada der nahi karte huwe aaiye detail me jante hai:-



Google Adsense Use Karne Ke Fayde




  1. Google Adsense Easy to Use hai.

  2. Google Adsense ko use karna bahut aasan hai. Agar aapne nai-nai blogging suru ki hai or aapko Blog ya Adsense ke bare me jyada nahi pata hai or agar aap Non-Technical hain is wajah se iska prayog karne se dar bhi rahe hain to mai aapko yahi kahunga ki darne ki koi jarurat nahi hai.

    Aap bina kisi technical knowledge ke bilkul aasani se Google Adsense ko apne blog ya site me prayog kar sakte hain. Agar aap aadha ghanta Adsense ki site par bitaye ya adsense se related post padhein ya tutorial dekhein to mai gaurantee deta hu aapko Adsense ke baare me puchne ki jarurat hi nahi padegi, sare kaam aap khud kar lenge.

    Ek line me kahut to Google Adsense ka use bahaut aasan hai or har koi isey samajh sakta hai or use kar sakta hai.



  3. Unlimited Websites Add karna


  4. Google Adsense ka sabse best features hai Ek account me jitni marji utne websites/blog add karna. Ye features aapko or kisi Ad Network me nahi milega.

    Agar aap kisi dusre ad network ko use karte hain to aapko usme har baat website ya blog ko add karne ke request karna padega, fir us Ad Network ki team aapki site ko check karegi or fir approve karegi Lekin Adsense me aisa nahi hai. Ek baar Adsense approve ho jane ke baad aap jitne chahe utne blog ya site par Adsense ke code use kar sakte hain.

    Lekin iske sath hi ye bhi dhyan rakhna hoga ki vo sabhi Sites/Blog Adsense ke Terms and Conditions ko follow karte ho, agar aisa nahi hota hai to Adsense aapke account ko disable kar dega.





  5. Ads Customize ki Suvidha


  6. Ye facility bhi kisi dusre Ad Network me nahi milega Lekin Adsense me aap ye choose kar sakte hain ki aapke blog par kis tarah ke ads show honge. 

    Maan Lijiye aapka techonogy wala blog hai or aapke blog par bachcho ke liye use hone wale products ka ads show hota hai, jabki aapko lagta hai ki uski jagah technology wala ads jyada show hone se aapko jyada fayda milega to aap us Ads ko band kar sakte hain.

    Yaha tak ki aap Text Ads ke background or Color bhi change kar sakte hain. Aisa karne se aapke blog ke template ka design bhi achcha lagega.



  7. Low Income Ads ko Band Kar Sakte hain


  8. Adsense hame ye facility bhi deta hai ki Agar kisi Ads se hame jyada earning nahi ho rahi to hum us Ad ko band kar sakte hain. Aisa karne se sirf high CPC wale ads hi rah jayenge jisse hamari earnings bhi achchi hogi.



  9. Mobile Friendly Ads


  10. Google Adsense ki ek khaas baat hai ki uske sabhi Ads Responsive Ads hote hai jo har tarah ke screen or space me fit baithate hai, chahe vo Desktop ho ya Mobile.

    Adsense ke Mobile friendly hone ke karan chhoti screen par bhi uske Ads achcha perform karte hai. Iske alawa Google ne Page Level Ads naam se ek naya feature bhi launch kiya hai jisse hum mobile me niche ki taraf bhi ads dikha sakte hain.





  11. Interest Based Ads


  12. Interest based ads me Google hamare browsing history ko read karta hai or hamare dwara search kiye gaye data ke aadhar par hi vo hame ad dikhata hai.

    Isey aise samajhiye. Maan lijiye aapne google me Mobile ke bare me search kiya to kuch ghanto baad jab aap koi aisi website kholenge jaha Google Adsense ka ad laga ho to us ad me aapko mobile ya usse related ad jarur dekhne ko milega.

    Aapke search se milta-julta ad hone ke karan is baat ki sambhavna badh jayegi ki aap us Ad par click karenge. 

    Google Adsense ka ye features usey sabhi Ad Networks se alag karta hai or is features ke karan publisher (Blogger) ki bhi achchi earning hoti hai.



  13. Geo Based Ads


  14. Geo Based Ads me aap jis country me hote hain usi country se related ads dikhaye jate hai.

    Jaise maan lijiye aapne koi aisi website jis par adsense laga ho, usey India me open kiya to aapko India me chalne wale ads hi dikhenge or agar aapka friend USA me baith kar usi website ko open karta hai to usey USA me chalne wale ads dikhenge.

    Ab sabhi bade Ad Netowrks Geo Based Ads ka use karne lage hai lekin un sabhi me highest rate aaj bhi Adsense hi deta hai.



  15. Product Sell Karne ki Jarurat Nahi Hai


  16. Google Adsense kabhi bhi aapko koi Product sell karne ya koi Software/apps download karne ko nahi kaha hai.

    Aapka kaam hota hai apne site par ads lagana. Un ads par click kar ke uski site par jane wale visitors ke upar depend karta hai ki vo us product ko kharidega ya nahi.





  17. Matched Content Ads ki Facility


  18. Adsense ne ye ek naya features add kiya hai jisme hum apne hi site ke posts ad me dikha sakte hai. Waise is tarah ke ads par click karne se hame koi earning nahi hogi lekin issey visitors ko hamare dusre post par jane me aasani rahegi.

    Is tarah ke Ad me visitors ke dwara search kiye keyword se related post hi ad me dikhte hai. Aisa Ad lagane se hamare Blog ka page views bhi badhega or Bounce Rate bhi kam hoga. 




  19. Custom Search Ads ki Suvidha


  20. Dosto, jab aap Google me kuch search karte honge to aapne dekha hoga ki search result me pahla result aapke search keyword se milte julte ads ka hota hai, uske baad aapke search se related results show hote hai.

    Custom search bhi kuch aisa hi hai. Ye Adsense ka bahut hi achcha feature hai. Is search bar ko apne site par laga kar bhi hum extra earning kar sakte hain.

    Jab bhi koi hamare site par aakar Custom Search me koi keyword search karega to usey result me sabse pahle ads dikhega. Agar vo us ad par click kar dega to aapko us click ke paise milenge.

    Hai na kamal ka feature.



  21. High Income


  22. Google Adsense dusre ad network ki tulna me high CPC deta hai jis karan hamari income bhi achchi hoti hai. Ek anumaan ke anusar Adsense ads ka CPC $0.01 se $10 tak ho sakta hai. CPC depend karta hai Ads type, Location or Site par.





  23. Direct Bank Transfer


  24. Jab Adsense me hamari earnings $100 ho jati hai to payment ke liye request karne par Google Adsense har mahine ki ek fix date ko hamare bank account me vo paise transfer kar deta hai.

    Isey Bhi Padhein Best Applock For Android


  25. Mobile App or Browser Toolbar ki suvidha


  26. Adsense ne apna Mobile App or Browser Toolbar ka Extension bhi launch kiya hai jisse hum kahi bhi, kabhi bhi apni earnings ki detail check kar sakte hain.



  27. Trusted Aur Free Service


  28. Internet Marketing me bahut sare Ad Networks fraud or scam bhi hote hai jo publishers(Bloggers) ka paisa lekar bhag jate hai lekin Google Adsense, Google ka hi ek program hai isliye ye puri tarah se trusted company hai. Ye na to aapko dhokha degi or na hi aapke paise lekar bhagegi. 

    Aap soch rahe honge ki agar ye itni achchi company hai to paise bhi legi to mai aapko batana chahunga ki ye puri tarah se free service hai. Adsense ki service ke liye aapko kisi tarah ke paise dene ki jarurat nahi hoti hai.



  29. Best Supporting Team


  30. Google Adsense ka use karte samay agar koi problem aati hai to hum Adsense ki support team ko E-mail karte hain or Sabse achchi baat ki Adsense ki supporting team kuch hi ghanto me hamara reply bhi kar deti hai.

    Iske alawa aap Google Adsense par bane forum bhi join kar sakte hain jisse aapko bahut hi fayda hoga. 

    Google Adsense ke or bhi fayde hai, jab aap Adsense use karenge to aapko khud hi pata chal jayega. Ummid karta hu aapko ye post pasand aaya hoga. Agar koi sawal ya sujhav ho to comment kar ke jarur bataiyega or hame subscribe karna mat bhuliyega. Thank You.

Isey Bhi Padhein



loading...
Previous
Next Post »