Google Adsense Par Account Kaise Banaye

Google Adsense par account kaise banaye

Dosto, Aaj kal log Blog/Site banane ke baad usse jyada se jyada paisa kamana chahte hain lekin unhe samajh me nahi aata ki aakhir aisa kya karein jisse unhe paise milne lage.

Blog se paise kaise kamaye ye post padh kar aapko bahut kuch andaja lag jayega. Waise to bahut sare Ads Network hai jinke ads ko apne site par laga kar hum usse paise kama sakte hain lekin Internet Marketing ki duniya ka Betaj Badshah hai Google Adsense.

Har naye blogger/site owner ka sapna hota hai ki uske blog/site par bhi Google Adsense ke ad lage. Aap soch rahe honge ki aakhir aisa kya hai Adsense me. 

Iska karan ye hai ki Google Adsense ke Ads ki placing bahut hi aasan hai or ye ek click par baaki Ad network ki tulna me jyada paise deta hai lekin Adsense approve hona kisi jung jitne ke barabar hai.




Adsense ke Terms and Conditions bahut hi strict hai. Agar aap apna koi website/blog bana rakhe hain or us par Google Adsense ka ad lagana chahte hain to ussey pahle aapko Google ke Terms and conditions ko strictly follow karna padega. 

Jab aap Adsense ke liye apply karte hain to Google aapke sites ko achche se check karta hai or ek jara si galti par bhi aapka Adsense application reject ho sakta hai.

Isliye Adsense ke liye apply karne se pahle aap uske Terms and conditions ko achche se padh lijiye or jab aapko lage ki aapki website un conditions ko follow kar rahi hai tab aap apply kariye.

Adsense ke liye 2 tariko se apply kiya ja sakta hai. 1) Website/Blog ke jariye 2) Youtube ke jariye.

Adsense inhi dono yaani ki Website/Blog or Youtube par hi use kiya ja sakta hai.

Ye to thi adsense ke baare me kuch basic baatein. Ab aapka jyada samay na lete hue hum main point par aate hain.

Is post me aage badhne se pahle mai ye maan kar chal raha hu ki aapka site/blog adsense ke liye puri tarah se taiyar hai or ab aap niche diye gaye stpes ko padhiye or usey follow karte hue apne Adsense ke liye apply kariye.





Adsense Account ke liye Apply Karne Se Pahle Kya Kare.


  • Adsense ke liye apply karne se pahle aapke paas apna khud ka Gmail Account hona chahiye. Agar aapne abhi tak apna Gmail account nahi banaya hai to hamara post Gmail par account kaise banayejarur padhiyega.


  • Gmail par Account banane ke baad dusri jaruri chiz aapke paas honi chahiye vo hai Blog/Website. Agar aapne apna blog/website abhi tak nahi banaya hai to hamara ye post Blog(website) kaise banayejarur padhna chahiye.


  • Website banane ke baad tisri jaruri chiz hai aapka Address aur Phone number. 


  • Ye tino chize ready karne ke baad ab aap Adsense ke liye apply karne ke liye taiyar hain. Aaiye dekhte hai 


Adsense account banane ke steps

Step 1: Sabse pahle aap www.google.com/adsense par jakar Sign up par click kariye.

Step 2: Sign up par click karte hi Sign In ka option aayega.

Google Adsense Par Account Kaise Banaye

Step 3: Sign In par click karte hi aapse aapka Gmail ID se login karne ko kaha jayega.

Step 4: Gmail Id se login karte hi aapke samne kuch aisa page khul jayega. Agar aap apni usi email id se Adsense account banana chahte hain to Log in with current account par click kar dein.
Google Adsense Par Account Kaise Banaye

Step 5: Ab aapke samne niche diye gaye page jaisa page khulega jaha aapko apne website/blog ka link dalna hai or site par kis language me content dala gaya hai vo language choose karna hai. Agar aapne English me Post likha hai to English choose kariyega or Save and Continue par click kar dijiyega.

Google Adsense par account kaise banaye

Step 6: Ab aapke samne Adsense ka form open hoga. Isme aap apni personal detail fill karenge. Jaisa Image me dikhaya gaya hai waisa hi bhariyega. Sirf Name, Address or Mobile no. me aapka naam, address or mobile no. hona chahiye.
Google Adsense par account kaise banaye

Google Adsense par account kaise banaye


  1. Sabse pahle apni Country Select karein
  2. Time Zone me agar aap India me hain to (UTC+5:30) Kolkata  select kariye.
  3. Agar aap Adsense account apne liye bana rahe hain to Individual select kariye.
  4. Apna naam fill karein or Apna pura or bilkul sahi address daale. Address fill karne me koi galti nahi honi chahiye kyuki Adsense aapka address verify karne ke liye aapke address par ek code send karta hai jo aapko apne Adsense account me fill karna hota hai. Isliye Name or Address fill karte samay puri savdhani bartein.
  5. Primary Contact me fir se apna naam daale.
  6. Apna Mobile no. daale.
  7. Apni Email ID daale.
  8. Ab aapse pucha jayega aapko Adsense ke bare me kaha se pata chala, to sahi option select kare.
  9. Adsense se related news or jaruri information pane ke liye diye gaye sare options ko Yes kar dein.
  10. Ab Submit My Application par click kar dein.



Step 7: Ab aapka Mobile no. verify karne ke liye kaha jayega.   Mobile no. enter karne ke baad Aap SMS ya Voics Call select kar ke Send Verification Code par click kar dein.

Google Adsense par account kaise banaye

Step 8: Ab aapke mobile no. par ek verification code aayega jisey aapko daal kar verify karna hai.

Google Adsense par account kaise banaye

Step 9: Mobile No. verify hote hi aapke samne ek popup khulega jisme Adsense ke Terms and Conditions likhe honge. Vo sare Terms and conditions padhne ke baad aapko Yes, I have read and accept agreement ke samne ke box ko tik (Check) kar dein or Accept par click kar dein.

Google Adsense par account kaise banaye

Step 10: Ab aapke samne kuch aisa page open hoga jisme ek box me code likha hoga. ye Code aapko apne website/blog ke HTML Editor me jakar <head> ke thik niche paste kar ke save kar dena hai.
Google Adsense par account kaise banaye

Fir wapas aa kar aapko I've pasted the code ke samne ke box ko tik kar ke Done par click kar dena hai.

Step 11: Ab aapke samne ek page open hoga jisme likha hoga We're reviewing your Site.
Google Adsense par account kaise banaye

Aapka Adsense ke liye apply ka process pura ho chuka hai yaani aapne Adsense ke liye apply kar diya hai.

Ab Adsense ki backend team aapke site ko check karegi or sab kuch thik hone par aapka adsense 72 ghanto ke andar approve ho jayega or agar site me kuch gadbad hogi to Adsense aapko mail kar ke problem ke bare me batayega or usey thik karne ke liye kahega.

EK baar Application approve ho jane ke baad aapko Adsense me login karna hai or waha se Ad Code ko lekar apni site par widget add kar ke ya HTML code me jakar usey paste kar djiye (jaha aap ad show karna chahte hain).

Ab agle kuch dino to aapko Ads ke jagah par kewal blank space dikhai dega, aise me aapko ghabrane ki jarurat nahi hai kyuki aapki site ko verify karne ka Adsense ka ye second verification hota hai. Ek baar verification ho jane ke baad aapka ad apke site par live ho jayega or visitors ko dikhne lagega.

Aapko ye post kaisa laga, Is bare me comment kar ke jarur bataiyega. Koi sawal or sujhav ho hame comment me ya email kar ke jarur bataiyega. Thank You

Isey Bhi Padhein




loading...
Previous
Next Post »